ye choT khai aisi dil par ki ji ganwaya
ye choT khaa.ī aisī dil par ki jī gañvāyā
ya.anī judā.ī kā ham sadma baḌā uThāyā
muddat meñ vo huā shab ham-bistar aa ke merā
ḳhvābīda tāle.oñ ne ik ḳhvāb sā dikhāyā
uljhāo paḌ gayā so suljhī na apnī us kī
jhagḌe rahe bahut se guzre bahut qazāyā
ā.īna-rū hamārā aaya na naza.a meñ bhī
vaqt-e-aḳhīr un ne kyā ḳhuub muñh chhupāyā
is be-muravvatī ko kyā kahte haiñ batāo
ham maare bhī ga.e par vo na.ash par na aaya
vo rū-e-ḳhūb ab ke hargiz gayā na dil se
jab gul khilā chaman meñ tab daaġh ham ne khāyā
ḳhalta hamārā us kā hairat hī kī jagah hai
DhūñDā jahāñ ham us ko vaañ aap ko hī paayā
tarz-e-nigah se us kī behosh kyā huuñ maiñ hī
un mast añkhḌiyoñ ne bahuteroñ ko sulāyā
āñkheñ khulīñ to dekhā jo kuchh na dekhnā thā
ḳhvāb-e-adam se ham ko kaahe ke tiiñ jagāyā
baaqī nahīñ rahā kuchh ghaTte hī ghaTte ham meñ
bīmārī-e-dilī ne changā bahut banāyā
tū ne ki paañv dil se bāhar nahīñ rakhā hai
ayyār-pan ye kin ne tere ta.iiñ sikhāyā
kis din mulā.emat kī us but ne 'mīr' ham se
saḳhtī khiñche na kyūñkar patthar se dil lagāyā
ye choT khai aisi dil par ki ji ganwaya
yani judai ka hum sadma baDa uThaya
muddat mein wo hua shab ham-bistar aa ke mera
KHwabida taleon ne ek KHwab sa dikhaya
uljhao paD gaya so suljhi na apni us ki
jhagDe rahe bahut se guzre bahut qazaya
aaina-ru hamara aaya na naza mein bhi
waqt-e-aKHir un ne kya KHub munh chhupaya
is be-murawwati ko kya kahte hain batao
hum mare bhi gae par wo nash par na aaya
wo ru-e-KHub ab ke hargiz gaya na dil se
jab gul khila chaman mein tab dagh hum ne khaya
KHalta hamara us ka hairat hi ki jagah hai
DhunDa jahan hum us ko wan aap ko hi paya
tarz-e-nigah se us ki behosh kya hun main hi
un mast ankhDiyon ne bahuteron ko sulaya
aankhen khulin to dekha jo kuchh na dekhna tha
KHwab-e-adam se hum ko kahe ke tin jagaya
baqi nahin raha kuchh ghaTte hi ghaTte hum mein
bimari-e-dili ne changa bahut banaya
tu ne ki panw dil se bahar nahin rakha hai
ayyar-pan ye kin ne tere tain sikhaya
kis din mulaemat ki us but ne 'mir' hum se
saKHti khinche na kyunkar patthar se dil lagaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0764
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.