ye dil ne kya kiya ki asir-e-bala kiya
ye dil ne kyā kiyā ki asīr-e-balā kiyā
us zulf-e-pur-shikan ne mujhe mubtalā kiyā
go be-kasī se ishq kī ātish meñ jal bujhā
maiñ juuñ charāġh-e-gor akelā jalā kiyā
aaya na us taraf se javāb ek harf kā
har roz ḳhatt-e-shauq idhar se chalā kiyā
Dartā hī maiñ rahā ki palak koī gaḌ na jaa.e
āñkhoñ se us ke raat jo talve malā kiyā
bad-hāl ThanDī sāñseñ bharā kab talak kare
sargarm-e-marg 'mīr' huā to bhalā kiyā
ye dil ne kya kiya ki asir-e-bala kiya
us zulf-e-pur-shikan ne mujhe mubtala kiya
go be-kasi se ishq ki aatish mein jal bujha
main jun charagh-e-gor akela jala kiya
aaya na us taraf se jawab ek harf ka
har roz KHatt-e-shauq idhar se chala kiya
Darta hi main raha ki palak koi gaD na jae
aankhon se us ke raat jo talwe mala kiya
bad-haal ThanDi sansen bhara kab talak kare
sargarm-e-marg 'mir' hua to bhala kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1320
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.