ye rawish hai dilbaron ki na kisu se saz karna
ye ravish hai dilbaroñ kī na kisū se saaz karnā
koī ḳhaak se ho yaksāñ vahī un ko naaz karnā
koī āshiqoñ butāñ kī kare naql kyā ma.īshat
unheñ naaz karte rahnā unheñ jī niyāz karnā
rahīñ band merī āñkheñ shab-o-roz zo.af hī meñ
na huā mujhe mayassar kabhū chashm baaz karnā
ye bhī turfa mājrā hai ki usī ko chāhtā huuñ
mujhe chāhiye hai jis se bahut ehtirāz karnā
nahīñ kuchh rahā tū laḌkā tujhe par zarūr hai ab
havas aur āshiqī meñ Tuk ik imtiyāz karnā
koī āshiqoñ kī phappaT kinhoñ ne uThā.ī bhī hai
unheñ baat ho jo thoḌī use bhī darāz karnā
yahī 'mīr' khīñche qashqa dar-e-dair par the sājid
nahīñ e'timād qābil unhoñ kā namāz karnā
ye rawish hai dilbaron ki na kisu se saz karna
koi KHak se ho yaksan wahi un ko naz karna
koi aashiqon butan ki kare naql kya maishat
unhen naz karte rahna unhen ji niyaz karna
rahin band meri aankhen shab-o-roz zoaf hi mein
na hua mujhe mayassar kabhu chashm baz karna
ye bhi turfa majra hai ki usi ko chahta hun
mujhe chahiye hai jis se bahut ehtiraaz karna
nahin kuchh raha tu laDka tujhe par zarur hai ab
hawas aur aashiqi mein Tuk ek imtiyaz karna
koi aashiqon ki phappaT kinhon ne uThai bhi hai
unhen baat ho jo thoDi use bhi daraaz karna
yahi 'mir' khinche qashqa dar-e-dair par the sajid
nahin e'timad qabil unhon ka namaz karna
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0690
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.