yun nakaam rahenge kab tak ji mein hai ek kaam karen
yuuñ nākām raheñge kab tak jī meñ hai ik kaam kareñ
rusvā ho kar maare jāveñ us ko bhī badnām kareñ
jin ko ḳhudā detā hai sab kuchh ve hī sab kuchh dete haiñ
Topī lañgoTī paas apne ham is par kyā in.aam kareñ
muñh khole to roz hai raushan zulf bikhere raat hai phir
in tauroñ se āshiq kyūñkar sub.h ko apnī shaam kareñ
ḳhatt-o-kitābat harf-o-hikāyat saf.ha varaq meñ aa jaave
daste ke daste kāġhaz ho jo dil kā haal irqām kareñ
shaiḳh paḌe mehrāb-e-haram meñ pahroñ dogānā paḌhte raho
sajda ek us teġh tale kā un se ho to salām kareñ
dil-āsūda ho to rahe Tuk dar par ham sau baar ga.e
vo so yahī kah bheje hai bāhar jāveñ ab ārām kareñ
mail-e-gadā.ī tab.a ko apnī kuchh bhī nahīñ hai varna 'mīr'
do-ālam ko maañg ke lāveñ ham jo tanik ibrām kareñ
yun nakaam rahenge kab tak ji mein hai ek kaam karen
ruswa ho kar mare jawen us ko bhi badnam karen
jin ko KHuda deta hai sab kuchh we hi sab kuchh dete hain
Topi langoTi pas apne hum is par kya inam karen
munh khole to roz hai raushan zulf bikhere raat hai phir
in tauron se aashiq kyunkar subh ko apni sham karen
KHatt-o-kitabat harf-o-hikayat safha waraq mein aa jawe
daste ke daste kaghaz ho jo dil ka haal irqam karen
shaiKH paDe mehrab-e-haram mein pahron dogana paDhte raho
sajda ek us tegh tale ka un se ho to salam karen
dil-asuda ho to rahe Tuk dar par hum sau bar gae
wo so yahi kah bheje hai bahar jawen ab aaram karen
mail-e-gadai taba ko apni kuchh bhi nahin hai warna 'mir'
do-alam ko mang ke lawen hum jo tanik ibram karen
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1463
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.