zalim ye kya nikali raftar rafta-rafta
zālim ye kyā nikālī raftār rafta-rafta
is chaal par chalegī talvār rafta-rafta
har aan ham ko tujh bin ek ik baras huī hai
kyā aa gayā zamāna ai yaar rafta-rafta
kyā kahiye kyūñke jāneñ be-parda jātiyāñ haiñ
is ma.anī kā bhī hogā iz.hār rafta-rafta
ye hī sulūk us ke aksar chale ga.e to
baiTheñge apne ghar ham nā-chār rafta-rafta
pāmāl huuñ ki is meñ huuñ ḳhaak se barābar
ab ho gayā hai sab kuchh hamvār rafta-rafta
chāhat meñ daḳhl mat de zinhār aarzū ko
kar de hai dil kī ḳhvāhish bīmār rafta-rafta
ḳhātir na jam.a rakkho in palkoñ kī ḳhalish se
sar dil se kāḌhte haiñ yaañ ḳhaar rafta-rafta
the ek ham ve donoñ so ittihād kaisā
har baat par ab aa.ī takrār rafta-rafta
gar but-kade meñ jaanā aisā hai 'mīr' jī kā
to tār-e-sub.ha hogā zunnār rafta-rafta
zalim ye kya nikali raftar rafta-rafta
is chaal par chalegi talwar rafta-rafta
har aan hum ko tujh bin ek ek baras hui hai
kya aa gaya zamana ai yar rafta-rafta
kya kahiye kyunke jaanen be-parda jatiyan hain
is mani ka bhi hoga izhaar rafta-rafta
ye hi suluk us ke aksar chale gae to
baiThenge apne ghar hum na-chaar rafta-rafta
pamal hun ki is mein hun KHak se barabar
ab ho gaya hai sab kuchh hamwar rafta-rafta
chahat mein daKHl mat de zinhaar aarzu ko
kar de hai dil ki KHwahish bimar rafta-rafta
KHatir na jama rakkho in palkon ki KHalish se
sar dil se kaDhte hain yan KHar rafta-rafta
the ek hum we donon so ittihad kaisa
har baat par ab aai takrar rafta-rafta
gar but-kade mein jaana aisa hai 'mir' ji ka
to tar-e-subha hoga zunnar rafta-rafta
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0937
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.