Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zar kiya bimar kiya is dil ne kya aazar kiya

Meer Taqi Meer

zar kiya bimar kiya is dil ne kya aazar kiya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    zaar kiyā bīmār kiyā is dil ne kyā āzār kiyā

    daaġh se tan gulzār kiyā sab āñkhoñ ko ḳhūñ-bār kiyā

    jurm hai ham ulfat-kushtoñ lag paḌne se shoḳh huā

    ab kahte haiñ dil meñ apne ham ne use kyoñ pyaar kiyā

    chāhā ham ne kyā kyā thā par apnā chāhā kuchh na huā

    izzat khoī zillat khīñchī ishq ne ḳhvār-o-zār kiyā

    pesh ga.ī kab pesh-e-zamāna tab.a-e-ḳhashin har nā-kas

    ik gardish meñ sipahr ne jaise sat.h-e-zamīñ hamvār kiyā

    sādgī merī aah na jaanā is meñ jaatā hai

    ishq us pur-kār ke maiñ ne logoñ meñ iqrār kiyā

    zar kiya bimar kiya is dil ne kya aazar kiya

    dagh se tan gulzar kiya sab aankhon ko KHun-bar kiya

    jurm hai hum ulfat-kushton ka lag paDne se shoKH hua

    ab kahte hain dil mein apne hum ne use kyon pyar kiya

    chaha hum ne kya kya tha par apna chaha kuchh na hua

    izzat khoi zillat khinchi ishq ne KHwar-o-zar kiya

    pesh gai kab pesh-e-zamana taba-e-KHashin har na-kas ki

    ek gardish mein sipahr ne jaise sath-e-zamin hamwar kiya

    sadgi meri aah na jaana ji hi is mein jata hai

    ishq ka us pur-kar ke main ne logon mein iqrar kiya

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1346
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now