Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zof-e-dimagh se kya puchho ho ab to hum mein haal nahin

Meer Taqi Meer

zof-e-dimagh se kya puchho ho ab to hum mein haal nahin

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    zo'f-e-dimāġh se kyā pūchho ho ab to ham meñ haal nahīñ

    itnā hai ki tapish se dil sar par vo dhammāl nahīñ

    gāhe-gāhe us meñ ham ne muñh us mah dekhā thā

    jaisā saal ki par guzrā vaisā bhī ye saal nahīñ

    bāloñ meñ us ke dil uljhā thā ḳhuub huā jo tamām huā

    ya.anī gayā jab pech se tab phir kuchh janjāl nahīñ

    aisī matā-e-qalīl ke uupar chashm na kholeñ ahl-e-nazar

    aañkh meñ aave jo kuchh hove duniyā itnī maal nahīñ

    sarv-chamāñ ko sair kiyā thā kabk-ḳhirāmāñ dekh liyā

    us andāz na paayā us ye chaal nahīñ

    dil to un meñ phañs jaatā hai Duube hai dekh udhar

    chāh-e-zanaḳh go chaah nahīñ hai baal us ke go jaal nahīñ

    kab tak dil ke TukḌe joḌūñ 'mīr' jigar ke laḳhtoñ se

    kasb nahīñ hai pāra-dozī maiñ koī vassāl nahīñ

    zo'f-e-dimagh se kya puchho ho ab to hum mein haal nahin

    itna hai ki tapish se dil ki sar par wo dhammal nahin

    gahe-gahe us mein hum ne munh us mah ka dekha tha

    jaisa sal ki par ka guzra waisa bhi ye sal nahin

    baalon mein us ke dil uljha tha KHub hua jo tamam hua

    yani gaya jab pech se ji hi tab phir kuchh janjal nahin

    aisi mata-e-qalil ke upar chashm na kholen ahl-e-nazar

    aankh mein aawe jo kuchh howe duniya itni mal nahin

    sarw-chaman ko sair kiya tha kabk-KHiraman dekh liya

    us ka sa andaz na paya us ki si ye chaal nahin

    dil to un mein phans jata hai ji Dube hai dekh udhar

    chah-e-zanaKH go chah nahin hai baal us ke go jal nahin

    kab tak dil ke TukDe joDun 'mir' jigar ke laKHton se

    kasb nahin hai para-dozi main koi wassal nahin

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1444
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now