Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilaj-e-hijr zara aur karke dekhte hain

Ain Seen

ilaj-e-hijr zara aur karke dekhte hain

Ain Seen

MORE BYAin Seen

    Interesting Fact

    خمسہ بر غزلِ احمد فراز

    ilāj-e-hijr zarā aur karke dekhte haiñ

    nazāre ham kisī rashk-e-qamar ke dekhte haiñ

    ḳhumār-e-dīd se ham bhī sañvar ke dekhte haiñ

    ''sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ

    so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ''

    hameñ kasak jo lāhaq hai chand sāloñ se

    najāt paane ko jaate haiñ in malāloñ se

    halāk hote haiñ us nigah ke bhāloñ se

    ''sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se

    so apne aap ko barbād karke dekhte haiñ

    subū mizāj hai sad-chashm-e-naġhma-sāz us

    vo be-niyāz nigah hai suḳhan-tarāz us

    dil-e-shaqī se to achchhī hai sāz-bāz us

    ''sunā hai dard gāhak hai chashm-e-nāz us

    so ham bhī us galī se guzar ke dekhte haiñ''

    ġhazal sunāne us ko hameñ milā hai sharaf

    suḳhan meñ ham ne banāyā jo us ko apnā hadaf

    to uTh bhī saktī hai us nazar hamārī taraf

    ''sunā hai us ko bhī hai sher-o-shā.erī se shaġhaf

    so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ''

    vo muskurā.e to ruḳh par gaḌhe se paḌte haiñ

    laboñ ko chhūte haiñ alfāz to sañvarte haiñ

    jo lams paate haiñ hoñToñ to nikharte haiñ

    ''sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ

    ye baat hai to chalo baat karke dekhte haiñ''

    vahī to hai jise har ek chāñd kahtā hai

    vo jis ke nuur meñ sūraj kiran bahtā hai

    vo jis ke hijr ko sūraj bhī chhup ke sahtā hai

    ''sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai

    sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ''

    ki us zulf pe to badliyāñ khul aatī haiñ

    usī diid pe ye qumriyāñ bhī gaatī haiñ

    usī ke nuur meñ to bijliyāñ nahātī haiñ

    ''sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ

    sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ''

    bahut hasīn haiñ us ḳhayāl āñkheñ

    vafūr-e-bāda se rangīñ gulāl āñkheñ

    jo un meñ jhāñk ke dekho to Dhaal āñkheñ

    ''sunā hai hashr haiñ us ġhazāl āñkheñ

    sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ''

    ki rasmasā ke sanā-gar haiñ koñpleñ us

    sunā hai kaif mehvar haiñ mahfileñ us

    sunā hai shauq se bartar haiñ manzileñ us

    ''sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us

    sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ''

    sunā hai ġhuncha-dahan sirr-e-sad-malāhat hai

    sunā hai jān-e-ġhazal sar-basar sabāhat hai

    sunā hai us ajab rustaḳhez qāmat hai

    ''sunā hai us siyah-chashmagī qayāmat hai

    so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ''

    jo muskurā.e to yāqūt-e-lab bahalte haiñ

    sunā hai us ke tabassum se dil pighalte haiñ

    aqīq-hoñToñ pe jab qahqahe machalte haiñ

    ''sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ

    so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ''

    hai baat aur aur har adā hasīñ us

    sabā ke dosh pe vo zulf-e-ambarīñ us

    ki dil pe qahr haiñ bāteñ vo dil-nashīñ us

    ''sunā hai ā.ina-timsāl hai jabīñ us

    jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ''

    ki dekhte jo haiñ ḳhud ko vo us ke darpan meñ

    hue haiñ itne vo mas.hūr us ban-Than meñ

    vo ḳhud ko bhuul ke kho.e haiñ ik na.e-pan meñ

    ''sunā hai jab se hamā.il haiñ is gardan meñ

    mizāj aur la.al-o-gohar ke dekhte haiñ''

    sunā hai lams ko paane ke us ke armāñ meñ

    vafūr-e-kaif ke afsūñ meñ shauq-e-jānāñ meñ

    isī ḳhayāl meñ kho kar kabhī shabistāñ meñ

    ''sunā hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ meñ

    palañg zāviye us kamar ke dekhte haiñ''

    ġhurūr-e-husn ke phūloñ aisī-taisī hai

    go ḳhushbū un bhī bilkul usī ke jaisī hai

    par un aan yahāñ paash paash kaisī hai

    ''sunā hai us ke badan tarāsh aisī hai

    ki phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ''

    nazīr koī bhī us sar-e-bilād nahīñ

    koī bhī husn meñ us husn se ziyād nahīñ

    nahīñ jo dekh ke us ko koī jo shaad nahīñ

    ''vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ

    ki is shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ''

    ajiib chiiz hai jalva jamāl-e-kāmil

    haTe kabhī ki jo parda hai us ke mahmil

    ḳhayāl phir nahīñ rahtā hai koī manzil

    ''bas ik nigāh se luTtā hai qāfila dil

    so rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ''

    sunā hai us ke shabistāñ se munfa.il hai bahisht

    sunā hai us ke shabistāñ se muzmahil hai bahisht

    sunā hai us ke shabistāñ se mundamil hai bahisht

    ''sunā hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht

    makīñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ''

    chale to gardisheñ sab e'tirāf kartī haiñ

    chale to rāsta us vo saaf kartī haiñ

    chale to us ke salīqe laaf kartī haiñ

    ''ruke to gardisheñ us tavāf kartī haiñ

    chale to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ''

    ḳhayāl-o-ḳhvāb ik anjuman use dekhe

    aur is tarah ki bad-dīvāna-pan use dekhe

    kabhī darīche se guzrī pavan use dekhe

    ''kise nasīb ki be-pairahan use dekhe

    kabhī kabhī dar-o-dīvār ghar ke dekhte haiñ''

    ajab junūñ ke ye apne muālije sahī

    dil-e-ġharīb ke apne muġhālate sahī

    ye bālak-haT ke sabab ke mutālbe sahī

    ''kahāniyāñ sahī sab mubālġhe sahī

    agar vo ḳhvāb hai ta.abīr karke dekhte haiñ''

    usī ke kūche meñ rah leñ ki dar-ba-dar jaa.eñ

    usī ke dar pe baiTheñ apne ghar jaa.eñ

    ab us ke shahr ko chhoḌeñ is meñ mar jaa.eñ

    ''ab us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ

    'farāz' aao sitāre safar ke dekhte haiñ''

    ilaj-e-hijr zara aur karke dekhte hain

    nazare hum kisi rashk-e-qamar ke dekhte hain

    KHumar-e-did se hum bhi sanwar ke dekhte hain

    suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

    so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain

    hamein kasak si jo lahaq hai chand salon se

    najat pane ko jate hain in malalon se

    halak hote hain us ki nigah ke bhaalon se

    suna hai rabt hai us ko KHarab-haalon se

    so apne aap ko barbaad karke dekhte hain

    subu mizaj hai sad-chashm-e-naghma-saz us ki

    wo be-niyaz nigah hai suKHan-taraaz us ki

    dil-e-shaqi se to achchhi hai saz-baz us ki

    suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki

    so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

    ghazal sunane ka us ko hamein mila hai sharaf

    suKHan mein hum ne banaya jo us ko apna hadaf

    to uTh bhi sakti hai us ki nazar hamari taraf

    suna hai us ko bhi hai sher-o-shaeri se shaghaf

    so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain

    wo muskurae to ruKH par gaDhe se paDte hain

    labon ko chhute hain alfaz to sanwarte hain

    jo lams pate hain honTon ka to nikharte hain

    suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain

    ye baat hai to chalo baat karke dekhte hain

    wahi to hai jise har ek chand kahta hai

    wo jis ke nur mein suraj kiran sa bahta hai

    wo jis ke hijr ko suraj bhi chhup ke sahta hai

    suna hai raat use chand takta rahta hai

    sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain

    ki us ki zulf pe to badliyan khul aati hain

    usi ki did pe ye qumriyan bhi gati hain

    usi ke nur mein to bijliyan nahati hain

    suna hai din ko use titliyan satati hain

    suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain

    bahut hasin hain us ki KHayal si aankhen

    wafur-e-baada se rangin gulal si aankhen

    jo un mein jhank ke dekho to Dhaal si aankhen

    suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen

    suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

    ki rasmasa ke sana-gar hain konplen us ki

    suna hai kaif ka mehwar hain mahfilen us ki

    suna hai shauq se bartar hain manzilen us ki

    suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki

    suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain

    suna hai ghuncha-dahan sirr-e-sad-malahat hai

    suna hai jaan-e-ghazal sar-basar sabahat hai

    suna hai us ki ajab rustaKHez qamat hai

    suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai

    so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain

    jo muskurae to yaqut-e-lab bahalte hain

    suna hai us ke tabassum se dil pighalte hain

    aqiq-honTon pe jab qahqahe machalte hain

    suna hai us ke labon se gulab jalte hain

    so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain

    hai baat aur hi aur har ada hasin us ki

    saba ke dosh pe wo zulf-e-ambarin us ki

    ki dil pe qahr hain baaten wo dil-nashin us ki

    suna hai aaina-timsal hai jabin us ki

    jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain

    ki dekhte jo hain KHud ko wo us ke darpan mein

    hue hain itne wo mashur us ki ban-Than mein

    wo KHud ko bhul ke khoe hain ek nae-pan mein

    suna hai jab se hamail hain is ki gardan mein

    mizaj aur hi lal-o-gohar ke dekhte hain

    suna hai lams ko pane ke us ke arman mein

    wafur-e-kaif ke afsun mein shauq-e-jaanan mein

    isi KHayal mein kho kar kabhi shabistan mein

    suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein

    palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain

    ghurur-e-husn ke phulon ki aisi-taisi hai

    go KHushbu un ki bhi bilkul usi ke jaisi hai

    par un ki aan yahan pash pash kaisi hai

    suna hai us ke badan ki tarash aisi hai

    ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain

    nazir koi bhi us ka sar-e-bilad nahin

    koi bhi husn mein us husn se ziyaad nahin

    nahin jo dekh ke us ko koi jo shad nahin

    wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin

    ki is shajar pe shagufe samar ke dekhte hain

    ajib chiz hai jalwa jamal-e-kaamil ka

    haTe kabhi ki jo parda hai us ke mahmil ka

    KHayal phir nahin rahta hai koi manzil ka

    bas ek nigah se luTta hai qafila dil ka

    so rah-rawan-e-tamanna bhi Dar ke dekhte hain

    suna hai us ke shabistan se munfail hai bahisht

    suna hai us ke shabistan se muzmahil hai bahisht

    suna hai us ke shabistan se mundamil hai bahisht

    suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht

    makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

    chale to gardishen sab e'tiraf karti hain

    chale to rasta us ka wo saf karti hain

    chale to us ke saliqe ka laf karti hain

    ruke to gardishen us ka tawaf karti hain

    chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain

    KHayal-o-KHwab ki ek anjuman use dekhe

    aur is tarah ki bad-diwana-pan use dekhe

    kabhi dariche se guzri pawan use dekhe

    kise nasib ki be-pairahan use dekhe

    kabhi kabhi dar-o-diwar ghar ke dekhte hain

    ajab junun ke ye apne mualije hi sahi

    dil-e-gharib ke apne mughaalate hi sahi

    ye baalak-haT ke sabab ke mutalbe hi sahi

    kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi

    agar wo KHwab hai tabir karke dekhte hain

    usi ke kuche mein rah len ki dar-ba-dar jaen

    usi ke dar pe hi baiThen ya apne ghar jaen

    ab us ke shahr ko chhoDen ya is mein mar jaen

    ab us ke shahr mein Thahren ki kuch kar jaen

    'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now