Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kunjashk-o-darna taza-dam lala kanwal aur nastaran

Ain Seen

kunjashk-o-darna taza-dam lala kanwal aur nastaran

Ain Seen

MORE BYAin Seen

    Interesting Fact

    خمسہ بر غزلِ سردار جعفری

    kunjashk-o-darnā tāza-dam laala kañval aur nastaran

    vo bulbul-o-tā.ūs-o-gul vo kaukab aur vo yāsman

    gul-hā-e-sad-rangīñ-qabā murġhān-e-sad-shīrīñ-dahan

    ''gulshan kaho tum chaman hai ahl-e-dil anjuman

    sad bulbul-e-shorīda-sar sad lāla-e-ḳhūnīñ-kafan''

    vo bāġh-e-yak-mīnu-sifat ganjīna-e-sarv-o-saman

    mas.hūr-kun vo chahchahe vo lahn-e-sad-nāz-e-suḳhan

    hai ambarīñ jis fazā mushk-e-ḳhutan jis pavan

    ''is baaġh meñ aatī hai ik mahbūba-e-gul-pairahan

    shīrīñ-navā shīrīñ-adā shīrīñ-suḳhan shīrīñ-dahan''

    vo hai ilāj-e-dard-e-dil dil magar halchal bhī hai

    vo āshnā-e-ġham bhī hai lekin bahut chanchal bhī hai

    vo jalva-e-māh-e-mubīñ vo nāznīñ sāñval bhī hai

    ''vo gul bhī hai sūraj bhī hai bijlī bhī hai bādal bhī hai

    dekhā na thā pahle kabhī aisā hasīñ bāñkā sajan''

    aise vo aaya māh-rū ausān sab ke aa liye

    nok aur palak ab sher kyā dekhiye kyā bhāliye

    ash ash ke is tūfān ko āḳhir kahāñ tak Tāliye

    ''paikar ko us ke sher ke paikar meñ kyūñkar Dhāliye

    ḳhāmosh haiñ hairān haiñ sab shahryārān-e-suḳhan''

    bulbul vo naġhma-kunāñ muskān ġhunche chaTak

    tevar vo bijlī lapak lālīñ vo aariz dhanak

    zulfoñ meñ ambar mahak āñkhoñ meñ tāroñ damak

    ''peshāni-e-sīmīñ hai sub.h-e-taḳhayyul chamak

    shā.istagī-e-fikr-o-fan us ke tabassum kiran''

    vo husn pā.inda hai vo maah raḳhshanda hai

    behad vo baḳhshinda hai aur sab se zebinda hai

    jo dekh le farḳhanda hai chāhe jo us ko zinda hai

    ''hūr-o-parī sharminda hai vo is qadar tābinda hai

    dekhe se nikhre rang-e-ruḳh chhūne se mailā ho badan''

    chāho bahut sunte raho us zindagī ke saaz ko

    dil meñ bas rakkho magar tum uns ke us raaz ko

    jo kuchh bhī ho tum chhūnā mat us paikar-e-andāz ko

    ''bas duur se dekhā karo us sham.a-e-bazm-e-nāz ko

    vo raunaq-e-kāshāna-e-dil hairat-e-sad-anjuman''

    bātoñ meñ us hai ayaañ vāzeh ye mub.ham kaun hai

    sochoñ meñ us dam-ba-dam maujūd paiham kaun hai

    tanhā.ī ke is dasht meñ ye us hamdam kaun hai

    ''aao chaleñ dekheñ zarā vo jān-e-ālam kaun hai

    'sardār' ke sheroñ meñ hai zulf-e-mo.ambar shikan''

    kunjashk-o-darna taza-dam lala kanwal aur nastaran

    wo bulbul-o-taus-o-gul wo kaukab aur wo yasman

    gul-ha-e-sad-rangin-qaba murghan-e-sad-shirin-dahan

    gulshan kaho tum ya chaman hai ahl-e-dil ki anjuman

    sad bulbul-e-shorida-sar sad lala-e-KHunin-kafan

    wo bagh-e-yak-minu-sifat ganjina-e-sarw-o-saman

    mashur-kun wo chahchahe wo lahn-e-sad-naz-e-suKHan

    hai ambarin jis ki faza mushk-e-KHutan jis ki pawan

    is bagh mein aati hai ek mahbuba-e-gul-pairahan

    shirin-nawa shirin-ada shirin-suKHan shirin-dahan

    wo hai ilaj-e-dard-e-dil dil ki magar halchal bhi hai

    wo aashna-e-gham bhi hai lekin bahut chanchal bhi hai

    wo jalwa-e-mah-e-mubin wo naznin sanwal bhi hai

    wo gul bhi hai suraj bhi hai bijli bhi hai baadal bhi hai

    dekha na tha pahle kabhi aisa hasin banka sajan

    aise wo aaya mah-ru ausan sab ke aa liye

    nok aur palak ab sher ki kya dekhiye kya bhaaliye

    ash ash ke is tufan ko aaKHir kahan tak Taliye

    paikar ko us ke sher ke paikar mein kyunkar Dhaaliye

    KHamosh hain hairan hain sab shahryaran-e-suKHan

    bulbul si wo naghma-kunan muskan ghunche ki chaTak

    tewar wo bijli ki lapak lalin wo aariz ki dhanak

    zulfon mein ambar ki mahak aankhon mein taron ki damak

    peshani-e-simin hai ya subh-e-taKHayyul ki chamak

    shaistagi-e-fikr-o-fan us ke tabassum ki kiran

    wo husn sa painda hai wo mah sa raKHshanda hai

    behad hi wo baKHshinda hai aur sab se hi zebinda hai

    jo dekh le farKHanda hai chahe jo us ko zinda hai

    hur-o-pari sharminda hai wo is qadar tabinda hai

    dekhe se nikhre rang-e-ruKH chhune se maila ho badan

    chaho bahut sunte raho us zindagi ke saz ko

    dil mein hi bas rakkho magar tum uns ke us raaz ko

    jo kuchh bhi ho tum chhuna mat us paikar-e-andaz ko

    bas dur se dekha karo us shama-e-bazm-e-naz ko

    wo raunaq-e-kashana-e-dil hairat-e-sad-anjuman

    baaton mein us ki hai ayan wazeh ye mubham kaun hai

    sochon mein us ki dam-ba-dam maujud paiham kaun hai

    tanhai ke is dasht mein ye us ka hamdam kaun hai

    aao chalen dekhen zara wo jaan-e-alam kaun hai

    'sardar' ke sheron mein hai zulf-e-moambar ki shikan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now