aalam-e-husn ki ranaiyan kab dekhte hain
'ālam-e-husn kī rā'nā.iyāñ kab dekhte haiñ
jo bhī taḳhlīq-e-do-'ālam kā sabab dekhte haiñ
vaqt-e-ruḳhsat bhī palaTte hue taiba kī taraf
yaar 'ushshāq-e-madīna to 'ajab dekhte haiñ
un ke rauze kī chamak aisī hai mujh jaise ġhulām
jitnā bhī dekh leñ par hadd-e-adab dekhte haiñ
un kā paiġhām-e-musāvāt sikhātā hai hameñ
ham se kam-zarf haiñ jo nām-o-nasab dekhte haiñ
bhiig jaatī haiñ ye hasrat bharī āñkheñ 'āsif'
qāfile un kī taraf vāloñ ke jab dekhte haiñ
'alam-e-husn ki ra'naiyan kab dekhte hain
jo bhi taKHliq-e-do-'alam ka sabab dekhte hain
waqt-e-ruKHsat bhi palaTte hue taiba ki taraf
yar 'ushshaq-e-madina to 'ajab dekhte hain
un ke rauze ki chamak aisi hai mujh jaise ghulam
jitna bhi dekh len par hadd-e-adab dekhte hain
un ka paigham-e-musawat sikhata hai hamein
hum se kam-zarf hain jo nam-o-nasab dekhte hain
bhig jati hain ye hasrat bhari aankhen 'asif'
qafile un ki taraf walon ke jab dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.