Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab tangi-e-daman pe na ja aur bhi kuchh mang

Peer Nasiruddin Shah Naseer

ab tangi-e-daman pe na ja aur bhi kuchh mang

Peer Nasiruddin Shah Naseer

MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer

    ab tangī-e-dāmāñ pe na aur bhī kuchh maañg

    haiñ aaj vo mā.il-ba-atā aur bhī kuchh maañg

    haiñ vo mutavajjah to duā aur bhī kuchh maañg

    jo kuchh tujhe milnā thā milā aur bhī kuchh maañg

    har-chand ke maulā ne bharā hai tirā kashkol

    kam-zarf na ban haath baḌhā aur bhī kuchh maañg

    chhū kar abhī aa.ī hai sar-e-zulf-e-mohammad

    kyā chāhiye ai bād-e-sabā aur bhī kuchh maañg

    yā-sarvar-e-dīñ shāh-e-arab rahmat-e-ālam

    de kar tah-e-dil se ye sadā aur bhī kuchh maañg

    sarkār dar hai dar-e-shāhāñ to nahīñ hai

    jo maañg liyā maañg liyā aur bhī kuchh maañg

    jin logoñ ko ye shak hai karam un hai mahdūd

    un logoñ bātoñ pe na aur bhī kuchh maañg

    us dar pe ye anjām huā husn-e-talab

    jholī mirī bhar-bhar ke kahā aur bhī kuchh maañg

    sultān-e-madīna ziyārat duā kar

    jannat talab chiiz hai kyā aur bhī kuchh maañg

    de sakte haiñ kyā kuchh ki vo kuchh de nahīñ sakte

    ye bahs na kar hosh meñ aa aur bhī kuchh maañg

    maanā ke usī dar se ġhanī ho ke uThā hai

    phir bhī dar-e-sarkār pe aur bhī kuchh maañg

    pahuñchā hai jo us dar pe to rah-rah ke 'nasīr' aaj

    āvāz pe āvāz lagā aur bhī kuchh maañg

    ab tangi-e-daman pe na ja aur bhi kuchh mang

    hain aaj wo mail-ba-ata aur bhi kuchh mang

    hain wo mutawajjah to dua aur bhi kuchh mang

    jo kuchh tujhe milna tha mila aur bhi kuchh mang

    har-chand ke maula ne bhara hai tera kashkol

    kam-zarf na ban hath baDha aur bhi kuchh mang

    chhu kar abhi aai hai sar-e-zulf-e-mohammad

    kya chahiye ai baad-e-saba aur bhi kuchh mang

    ya-sarwar-e-din shah-e-arab rahmat-e-alam

    de kar tah-e-dil se ye sada aur bhi kuchh mang

    sarkar ka dar hai dar-e-shahan to nahin hai

    jo mang liya mang liya aur bhi kuchh mang

    jin logon ko ye shak hai karam un ka hai mahdud

    un logon ki baaton pe na ja aur bhi kuchh mang

    us dar pe ye anjam hua husn-e-talab ka

    jholi meri bhar-bhar ke kaha aur bhi kuchh mang

    sultan-e-madina ki ziyarat ki dua kar

    jannat ki talab chiz hai kya aur bhi kuchh mang

    de sakte hain kya kuchh ki wo kuchh de nahin sakte

    ye bahs na kar hosh mein aa aur bhi kuchh mang

    mana ke usi dar se ghani ho ke uTha hai

    phir bhi dar-e-sarkar pe ja aur bhi kuchh mang

    pahuncha hai jo us dar pe to rah-rah ke 'nasir' aaj

    aawaz pe aawaz laga aur bhi kuchh mang

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now