Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

allah ne yun shan baDhai tere dar ke

Munawwr Badayuni

allah ne yun shan baDhai tere dar ke

Munawwr Badayuni

MORE BYMunawwr Badayuni

    allāh ne yuuñ shaan baḌhā.ī tire dar

    baḳhshī hai malā.ik ko gadā.ī tire dar

    paane ko to ḳhurshīd-o-qamar charḳh ne paa.e

    kyā paayā agar ḳhaak na paa.ī tire dar

    jannat ne utāre to bahut nuur ke naqshe

    tasvīr magar haath na aa.ī tire dar

    hūroñ ne malā.ik ne ajinnā ne bashar ne

    kis kis ne kahāñ bhiik na paa.ī tire dar

    allāh ke ghar se hai rasā.ī tire dar tak

    allāh ke ghar tak hai rasā.ī tire dar

    le jā.egī ik din mujhe taiba meñ uḌā kar

    jis vaqt havā jhuum kar aa.ī tire dar

    mahshar meñ bhī is shaan se jā.uñgā 'munavvar'

    rakkhe hue kāñdhe pe chaTā.ī tire dar

    allah ne yun shan baDhai tere dar ki

    baKHshi hai malaik ko gadai tere dar ki

    pane ko to KHurshid-o-qamar charKH ne pae

    kya paya agar KHak na pai tere dar ki

    jannat ne utare to bahut nur ke naqshe

    taswir magar hath na aai tere dar ki

    huron ne malaik ne ajinna ne bashar ne

    kis kis ne kahan bhik na pai tere dar ki

    allah ke ghar se hai rasai tere dar tak

    allah ke ghar tak hai rasai tere dar ki

    le jaegi ek din mujhe taiba mein uDa kar

    jis waqt hawa jhum kar aai tere dar ki

    mahshar mein bhi is shan se jaunga 'munawwar'

    rakkhe hue kandhe pe chaTai tere dar ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now