Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne aaqa ke madine ki taraf dekhte hain

Iftikhar Arif

apne aaqa ke madine ki taraf dekhte hain

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    apne aaqā ke madīne taraf dekhte haiñ

    dil ulajhtā hai to siine taraf dekhte haiñ

    ab ye duniyā jise chāhe use dekhe sar-e-sail

    ham to bas ek safīne taraf dekhte haiñ

    ahd-e-āsūdgī-e-jāñ ho ki daur-e-adbār

    usī rahmat ke ḳhazīne taraf dekhte haiñ

    vo jo pal-bhar meñ sar-e-arsh-e-barīñ khultā hai

    bas usī nuur ke ziine taraf dekhte haiñ

    bahr-e-tasdīq-e-sanad-nāma-e-nisbat ushshāq

    muhr-e-ḳhātam ke nagīne taraf dekhte haiñ

    dekhne vāloñ ne dekhe haiñ vo āshufta-mizāj

    jo haram se bhī madīne taraf dekhte haiñ

    apne aaqa ke madine ki taraf dekhte hain

    dil ulajhta hai to sine ki taraf dekhte hain

    ab ye duniya jise chahe use dekhe sar-e-sail

    hum to bas ek safine ki taraf dekhte hain

    ahd-e-asudgi-e-jaan ho ki daur-e-adbar

    usi rahmat ke KHazine ki taraf dekhte hain

    wo jo pal-bhar mein sar-e-arsh-e-barin khulta hai

    bas usi nur ke zine ki taraf dekhte hain

    bahr-e-tasdiq-e-sanad-nama-e-nisbat ushshaq

    muhr-e-KHatam ke nagine ki taraf dekhte hain

    dekhne walon ne dekhe hain wo aashufta-mizaj

    jo haram se bhi madine ki taraf dekhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now