apni ummat se nahin din ke sultan alag
apnī ummat se nahīñ diin ke sultān alag
is pe īmāñ hai mirā aur hai īqān alag
aap ke aane se ai māh-e-mubīñ nūr-e-bashar
zarre-zarre ko milā taiba ke sammān alag
kī do-'ālam kī 'atā rab ne 'adālat un ko
'adl meñ rakhte haiñ mahbūb-e-ḳhudā shaan alag
'arsh par kaise ga.e farsh se lamhe meñ huzūr
dekhtī rah ga.ī duniyā huī hairān alag
ummat-e-faḳhr-e-do-'ālam meñ hue ham paidā
rabb-e-akbar ne kiyā ham pe ye ehsān alag
ham kabhī piiTh pe ḳhanjar nahīñ maarā karte
ham ġhulāmān-e-mohammad kī hai pahchān alag
dar pe bulvā ke vo e'zāz 'atā karte haiñ
chāhte jis ko bhī haiñ nā.eb-e-rahmān alag
donoñ 'ālam meñ ḳhasāra hī ḳhasāra hogā
ho ke sarkār-e-madīna se ai insān alag
merā īmān ye kahtā hai ḳhudā se apne
ek lamha bhī nahīñ nabiyoñ ke sultān alag
jis meñ jibrīl bhī aate haiñ ijāzat le kar
farsh par hai vo faqat aap kā aivān alag
un kī chaukhaT se tire ghar ko hai nisbat 'nāzāñ'
is liye rahtā hai ghar se tire tūfān alag
apni ummat se nahin din ke sultan alag
is pe iman hai mera aur hai iqan alag
aap ke aane se ai mah-e-mubin nur-e-bashar
zarre-zarre ko mila taiba ke samman alag
ki do-'alam ki 'ata rab ne 'adalat un ko
'adl mein rakhte hain mahbub-e-KHuda shan alag
'arsh par kaise gae farsh se lamhe mein huzur
dekhti rah gai duniya hui hairan alag
ummat-e-faKHr-e-do-'alam mein hue hum paida
rabb-e-akbar ne kiya hum pe ye ehsan alag
hum kabhi piTh pe KHanjar nahin mara karte
hum ghulaman-e-mohammad ki hai pahchan alag
dar pe bulwa ke wo e'zaz 'ata karte hain
chahte jis ko bhi hain naeb-e-rahman alag
donon 'alam mein KHasara hi KHasara hoga
ho ke sarkar-e-madina se ai insan alag
mera iman ye kahta hai KHuda se apne
ek lamha bhi nahin nabiyon ke sultan alag
jis mein jibril bhi aate hain ijazat le kar
farsh par hai wo faqat aap ka aiwan alag
un ki chaukhaT se tere ghar ko hai nisbat 'nazan'
is liye rahta hai ghar se tere tufan alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.