Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dahr ki wajh-e-nizam aap hain

Behzad Lakhnavi

dahr ki wajh-e-nizam aap hain

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    dahr vaj.h-e-nizām aap haiñ

    bā.is-e-har-sub.h-o-shām aap haiñ

    sāhib-e-me.arāj haiñ aap

    sarvar-e-ālī-maqām aap haiñ

    aap jānib hai har nazar

    markaz-e-har-ḳhās-o-ām aap haiñ

    ham ko zamāna meñ ho kyoñ ziyāñ

    lab pe hamāre mudām aap haiñ

    aap har fe.al hai 'ain-e-haq

    nek-ruḳh-o-nek-nām aap haiñ

    aap pe nāzil huā hai qurāñ

    mālik-e-ilm-e-kalām aap haiñ

    hotī hai ham se ḳhatā par ḳhatā

    aur hamāre mudām aap haiñ

    dahr ki wajh-e-nizam aap hain

    bais-e-har-subh-o-sham aap hain

    sahib-e-mearaj hain aap hi

    sarwar-e-ali-maqam aap hain

    aap ki jaanib hi hai har nazar

    markaz-e-har-KHas-o-am aap hain

    hum ko zamana mein ho kyon ziyan

    lab pe hamare mudam aap hain

    aap ka har feal hai 'ain-e-haq

    nek-ruKH-o-nek-nam aap hain

    aap pe nazil hua hai quran

    malik-e-ilm-e-kalam aap hain

    hoti hai hum se KHata par KHata

    aur hamare mudam aap hain

    Source:

    Naat-e-Huzoor (Pg. 42)

    • Author: Behzad Lakhnavi
      • Publisher: Maktaba Burhan, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now