dil nisar-e-mustafa jaan paemal-e-mustafa
dil nisār-e-mustafā jaañ pā.emāl-e-mustafā
ye uvais-e-mustafā hai vo bilāl-e-mustafā
donoñ 'ālam the mire harf-e-du'ā meñ ġharq-o-mahv
maiñ ḳhudā se kar rahā thā jab savāl-e-mustafā
sab samajhte haiñ ise sham'-e-shabistān-e-hirā
nuur hai kaunain kā lekin jamāl-e-mustafā
'ālam-e-nasūt meñ aur 'ālam-e-lāhūt meñ
kauñdtī hai har taraf barq-e-jamāl-e-mustafā
'azmat-e-tanzīh dekhī shaukat-e-tashbīh meñ
ek hāl-e-mustafā hai ek qāl-e-mustafā
dekhiye kyā haal kar Daale shab-e-yaldā-e-ġham
haañ nazar aa.e zarā sub.h-e-jamāl-e-mustafā
zarra-zarra 'ālam-e-hastī kā raushan ho gayā
allah allah shaukat-o-shān-e-jamāl-e-mustafā
dil nisar-e-mustafa jaan paemal-e-mustafa
ye uwais-e-mustafa hai wo bilal-e-mustafa
donon 'alam the mere harf-e-du'a mein gharq-o-mahw
main KHuda se kar raha tha jab sawal-e-mustafa
sab samajhte hain ise sham'-e-shabistan-e-hira
nur hai kaunain ka lekin jamal-e-mustafa
'alam-e-nasut mein aur 'alam-e-lahut mein
kaundti hai har taraf barq-e-jamal-e-mustafa
'azmat-e-tanzih dekhi shaukat-e-tashbih mein
ek haal-e-mustafa hai ek qal-e-mustafa
dekhiye kya haal kar Dale shab-e-yalda-e-gham
han nazar aae zara subh-e-jamal-e-mustafa
zarra-zarra 'alam-e-hasti ka raushan ho gaya
allah allah shaukat-o-shan-e-jamal-e-mustafa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.