Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faslon ko takalluf hai humse agar hum bhi bebas nahin be-sahaara nahin

Iqbal Azeem

faslon ko takalluf hai humse agar hum bhi bebas nahin be-sahaara nahin

Iqbal Azeem

MORE BYIqbal Azeem

    fāsloñ ko takalluf hai ham se agar ham bhī bebas nahīñ be-sahārā nahīñ

    ḳhud unhī ko pukāreñge ham duur se rāste meñ agar paañv thak jā.eñge

    ham madīne meñ tanhā nikal jā.eñge aur galiyoñ meñ qasdan bhaTak jā.eñge

    ham vahāñ ke vāpas nahīñ ā.eñge DhūñDte DhūñDte log thak jā.eñge

    jaise sabz gumbad nazar aa.egā bandagī qarīna badal jā.egā

    sar jhukāne fursat milegī kise ḳhud palkoñ se sajde Tapak jā.eñge

    nām-e-āqā jahāñ bhī liyā jā.egā zikr un jahāñ bhī kiyā jā.egā

    nuur nuur sīnoñ meñ bhar jā.egā saarī mahfil meñ jalve lapak jā.eñge

    ai madīne ke zaa.er ḳhudā ke liye dāstan-e-safar mujh ko yuuñ mat sunā

    baat baḌh jā.egī dil taḌap jā.egā mere mohtāt aañsū chhalak jā.eñge

    un chashm-e-karam ko hai is ḳhabar kis musāfir ko hai kitnā shauq-e-safar

    ham ko 'iqbāl' jab bhī ijāzat milī ham bhī aaqā ke darbār tak jā.eñge

    faslon ko takalluf hai hum se agar hum bhi bebas nahin be-sahaara nahin

    KHud unhi ko pukarenge hum dur se raste mein agar panw thak jaenge

    hum madine mein tanha nikal jaenge aur galiyon mein qasdan bhaTak jaenge

    hum wahan ja ke wapas nahin aaenge DhunDte DhunDte log thak jaenge

    jaise hi sabz gumbad nazar aaega bandagi ka qarina badal jaega

    sar jhukane ki fursat milegi kise KHud hi palkon se sajde Tapak jaenge

    nam-e-aqa jahan bhi liya jaega zikr un ka jahan bhi kiya jaega

    nur hi nur sinon mein bhar jaega sari mahfil mein jalwe lapak jaenge

    ai madine ke zaer KHuda ke liye dastan-e-safar mujh ko yun mat suna

    baat baDh jaegi dil taDap jaega mere mohtat aansu chhalak jaenge

    un ki chashm-e-karam ko hai is ki KHabar kis musafir ko hai kitna shauq-e-safar

    hum ko 'iqbaal' jab bhi ijazat mili hum bhi aaqa ke darbar tak jaenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now