fazl rab ka hua mustafa aa gae
fazl rab kā huā mustafā aa ga.e
le ke dars-e-vafā mustafā aa ga.e
kufr tharrā gayā mustafā aa ga.e
haq kā ġhalba huā mustafā aa ga.e
sirf iblīs hai ġham-zada dahr meñ
do jahāñ ḳhush huā mustafā aa ga.e
bazm-e-kaunain meñ suniye chāroñ taraf
gūñjtī hai sadā mustafā aa ga.e
'arsh se farsh tak nuur chhāne lagā
jab ki māh-e-hudā mustafā aa ga.e
farsh par 'arsh par shādiyāñ haiñ rachī
har koī jhuum uThā mustafā aa ga.e
haqq-o-bātil meñ kyā farq hai dahr ko
us kā dene pata mustafā aa ga.e
bā-vazū ho ke rab kī razā ke liye
paḌhiye salle-'alā mustafā aa ga.e
be-sahāroñ kā ban kar ai 'āfī' miyāñ
dahr meñ aasrā mustafā aa ga.e
fazl rab ka hua mustafa aa gae
le ke dars-e-wafa mustafa aa gae
kufr tharra gaya mustafa aa gae
haq ka ghalba hua mustafa aa gae
sirf iblis hai gham-zada dahr mein
do jahan KHush hua mustafa aa gae
bazm-e-kaunain mein suniye chaaron taraf
gunjti hai sada mustafa aa gae
'arsh se farsh tak nur chhane laga
jab ki mah-e-huda mustafa aa gae
farsh par 'arsh par shadiyan hain rachi
har koi jhum uTha mustafa aa gae
haqq-o-baatil mein kya farq hai dahr ko
us ka dene pata mustafa aa gae
ba-wazu ho ke rab ki raza ke liye
paDhiye salle-'ala mustafa aa gae
be-sahaaron ka ban kar ai 'afi' miyan
dahr mein aasra mustafa aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.