hanste hue marne ki dua mang raha hun
hañste hue marne kī du'ā maañg rahā huuñ
bīmār nabī kā huuñ davā maañg rahā huuñ
ab shahr meñ pur-kaif fazā maañg rahā huuñ
gesu-e-mu’ambar kī havā maañg rahā huuñ
ai bād-e-sabā ḳhāk-e-madīna hī uThā lā
be-nūr nigāhoñ kī ziyā maañg rahā huuñ
ik baar bhī taiba kī ziyārat ho mayassar
sarkār kī sarkār meñ kyā maañg rahā huuñ
jannat kī talab hai na ḳhazāne kī tamanna
ik nazr-e-karam roz-e-jazā maañg rahā huuñ
gulzār-e-madīna kī taraf aañkh jhukā kar
bulbul se chahakne kī adā maañg rahā huuñ
sab jūd-o-karam māñgeñ ḳhudā se 'shamīm-anjum'
maiñ nisbat-e-mahbūb-e-ḳhudā maañg rahā huuñ
hanste hue marne ki du'a mang raha hun
bimar nabi ka hun dawa mang raha hun
ab shahr mein pur-kaif faza mang raha hun
gesu-e-mu’ambar ki hawa mang raha hun
ai baad-e-saba KHak-e-madina hi uTha la
be-nur nigahon ki ziya mang raha hun
ek bar bhi taiba ki ziyarat ho mayassar
sarkar ki sarkar mein kya mang raha hun
jannat ki talab hai na KHazane ki tamanna
ek nazr-e-karam roz-e-jaza mang raha hun
gulzar-e-madina ki taraf aankh jhuka kar
bulbul se chahakne ki ada mang raha hun
sab jud-o-karam mangen KHuda se 'shamim-anjum'
main nisbat-e-mahbub-e-KHuda mang raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.