Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hina se hai ye teri surKH ai nigar angusht

Mushafi Ghulam Hamdani

hina se hai ye teri surKH ai nigar angusht

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    hinā se hai ye tirī surḳh ai nigār angusht

    ki ho na panjā-e-marjāñ zīnhār angusht

    hilāl-o-badr hoñ yakjā araq-fishānī ko

    rakhe jabīñ pe jo kar ke tābdār angusht

    bayāñ zarūr hai ab dast-e-teġh us ke

    nikal ga.ī sipar-e-mah se jis paar angusht

    mohammad-e-arabī mo.ajizoñ jis ke kabhī

    na kar sake falak-e-pīr shumār angusht

    chaman meñ us risālat jab kuchh aa.e hai zikr

    alam kare hai shahādat shāḳh-sār angusht

    vazīfa jis paḌhe hai ye dāna-e-shabnam

    duā meñ jis hai khole hue chīnār angusht

    agar ho mohra-e-gahvāra sang-e-farsh us

    na chūse apnī kabhī tifl-e-shīr-ḳhvār angusht

    uThā de gar kaf-e-afsos malne vo rasm

    na hove phir kabhī angusht se do-chār angusht

    hina se hai ye teri surKH ai nigar angusht

    ki ho na panja-e-marjaan ki zinhaar angusht

    hilal-o-badr hon yakja araq-fishani ko

    rakhe jabin pe jo tu kar ke tabdar angusht

    bayan zarur hai ab dast-e-tegh ka us ke

    nikal gai sipar-e-mah se jis ki par angusht

    mohammad-e-arabi moajizon ka jis ke kabhi

    na kar sake falak-e-pir ka shumar angusht

    chaman mein us ki risalat ka jab kuchh aae hai zikr

    alam kare hai shahadat ki shaKH-sar angusht

    wazifa jis ka paDhe hai ye dana-e-shabnam

    dua mein jis ki hai khole hue chinar angusht

    agar ho mohra-e-gahwara sang-e-farsh us ka

    na chuse apni kabhi tifl-e-shir-KHwar angusht

    uTha de gar kaf-e-afsos malne ki wo rasm

    na howe phir kabhi angusht se do-chaar angusht

    Source:

    (Pg. 77)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now