Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek main hi nahin un par qurban zamana hai

Peer Nasiruddin Shah Naseer

ek main hi nahin un par qurban zamana hai

Peer Nasiruddin Shah Naseer

MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer

    ik maiñ nahīñ un par qurbān zamāna hai

    jo rabb-e-do-ālam mahbūb-e-yagāna hai

    kal jis ne hameñ pul se ḳhud paar lagānā hai

    zohra vo baabā hai sibtain naanā hai

    us hāshmī dūlhā par kaunain ko maiñ vārūñ

    jo husn-o-shamā.il meñ yaktā-e-zamāna hai

    izzat se na mar jaa.eñ kyoñ nām-e-mohamād par

    ham ne kisī din yuuñ bhī duniyā se to jaanā hai

    aao dar-e-zohra par phailā.e hue dāman

    hai nasl karīmoñ laj-pāl gharānā hai

    huuñ shāh-e-madīna maiñ pusht-panāhī meñ

    kyā is mujhe parvā dushman jo zamāna hai

    ye kah ke dar-e-haq se maut meñ kuchh mohlat

    mīlād aamad hai mahfil ko sajānā hai

    qurbān us aaqā par kal hashr ke din jis ne

    is ummat-e-āsī ko kamlī meñ chhupānā hai

    sau baar agar tauba TuuTī bhī to hairat kyā

    baḳhshish rivāyat meñ tauba to bahāna hai

    har vaqt vo haiñ merī duniyā-e-tasavvur meñ

    ai shauq kahīñ ab to aanā hai na jaanā hai

    pur-nūr rāheñ haiñ gumbad pe nigāheñ haiñ

    jalve bhī anokhe haiñ manzar bhī suhānā hai

    ham kyoñ na kaheñ un se rūdād-e-alam apnī

    jab un kahā ḳhud bhī allāh ne maanā hai

    ek main hi nahin un par qurban zamana hai

    jo rabb-e-do-alam ka mahbub-e-yagana hai

    kal jis ne hamein pul se KHud par lagana hai

    zohra ka wo baba hai sibtain ka nana hai

    us hashmi dulha par kaunain ko main warun

    jo husn-o-shamail mein yakta-e-zamana hai

    izzat se na mar jaen kyon nam-e-mohamad par

    hum ne kisi din yun bhi duniya se to jaana hai

    aao dar-e-zohra par phailae hue daman

    hai nasl karimon ki laj-pal gharana hai

    hun shah-e-madina ki main pusht-panahi mein

    kya is ki mujhe parwa dushman jo zamana hai

    ye kah ke dar-e-haq se li maut mein kuchh mohlat

    milad ki aamad hai mahfil ko sajaana hai

    qurban us aaqa par kal hashr ke din jis ne

    is ummat-e-asi ko kamli mein chhupana hai

    sau bar agar tauba TuTi bhi to hairat kya

    baKHshish ki riwayat mein tauba to bahana hai

    har waqt wo hain meri duniya-e-tasawwur mein

    ai shauq kahin ab to aana hai na jaana hai

    pur-nur si rahen hain gumbad pe nigahen hain

    jalwe bhi anokhe hain manzar bhi suhana hai

    hum kyon na kahen un se rudad-e-alam apni

    jab un ka kaha KHud bhi allah ne mana hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now