jalwa-e-mushaf-e-quran hain rasul-e-arabi

jalwa-e-mushaf-e-quran hain rasul-e-arabi
Zauqi Muzaffar Nagari
MORE BYZauqi Muzaffar Nagari
jalva-e-mus.haf-e-qur.āñ haiñ rasūl-e-'arabī
nūr-e-īmāñ se daraḳhshāñ haiñ rasūl-e-'arabī
mā'nī-e-sūra-e-rahmāñ haiñ rasūl-e-'arabī
masdar-e-tābish-e-burhāñ haiñ rasūl-e-'arabī
jis ne zarroñ ko sikhāyā hai sitāroñ kā chalan
vo mashiyyat kā dabistāñ haiñ rasūl-e-'arabī
un ke dastūr meñ ḳhandāñ hai bahāroñ kā nizām
husn-e-tartīb-e-gulistāñ haiñ rasūl-e-'arabī
un se pahle thā kahāñ rabb-e-do-‘ālam kā shu'ūr
maz.har-e-jalva-e-yazdāñ haiñ rasūl-e-'arabī
ai bashar kitnā baḌā hai bashariyyat kā maqām
mezbāñ 'arsh hai mehmāñ haiñ rasūl-e-'arabī
hukm deñ vo to mah-o-mehr ke ruk jaa.eñ qadam
hākim-e-gardish-e-daurāñ haiñ rasūl-e-'arabī
rāh-rau raat kā jangal hai sar-e-rāh to kyā
rahbar-e-nūr-badāmāñ haiñ rasūl-e-'arabī
ġham haiñ yādeñ haiñ shab-e-dard hai tanhā.ī hai
ab mirī ziist kā sāmāñ haiñ rasūl-e-'arabī
koī hamdard nahīñ dard kī dīvāroñ meñ
vaj.h-e-taskīn-e-dil-o-jāñ haiñ rasūl-e-'arabī
ġhair-mumkin bhī hai un ke liye mumkin 'zauqī'
fā.ez-e-masnad-e-imkāñ haiñ rasūl-e-'arabī
jalwa-e-mushaf-e-quran hain rasul-e-'arabi
nur-e-iman se daraKHshan hain rasul-e-'arabi
ma'ni-e-sura-e-rahman hain rasul-e-'arabi
masdar-e-tabish-e-burhan hain rasul-e-'arabi
jis ne zarron ko sikhaya hai sitaron ka chalan
wo mashiyyat ka dabistan hain rasul-e-'arabi
un ke dastur mein KHandan hai bahaaron ka nizam
husn-e-tartib-e-gulistan hain rasul-e-'arabi
un se pahle tha kahan rabb-e-do-‘alam ka shu'ur
mazhar-e-jalwa-e-yazdan hain rasul-e-'arabi
ai bashar kitna baDa hai bashariyyat ka maqam
mezban 'arsh hai mehman hain rasul-e-'arabi
hukm den wo to mah-o-mehr ke ruk jaen qadam
hakim-e-gardish-e-dauran hain rasul-e-'arabi
rah-rau raat ka jangal hai sar-e-rah to kya
rahbar-e-nur-badaman hain rasul-e-'arabi
gham hain yaaden hain shab-e-dard hai tanhai hai
ab meri zist ka saman hain rasul-e-'arabi
koi hamdard nahin dard ki diwaron mein
wajh-e-taskin-e-dil-o-jaan hain rasul-e-'arabi
ghair-mumkin bhi hai un ke liye mumkin 'zauqi'
faez-e-masnad-e-imkan hain rasul-e-'arabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.