jo manga ata mujhko kiya shah-e-umam ne
jo māñgā 'atā mujh ko kiyā shāh-e-umam ne
dekhā nahīñ qismat kā likhā shāh-e-umam ne
mahbūb vo insān huā rabb-e-jahāñ kā
mahbūb jise apnā kahā shāh-e-umam ne
gul apnī 'aqīdat kā mohabbat kā khilā kar
rakkhā hai mire dil ko harā shāh-e-umam ne
tārīkī zamāne se chhaTī raushnī phailī
raushan yuuñ kiyā haq kā diyā shāh-e-umam ne
allāh ne us samt kī sūrat hī badal dī
jis samt bhī ruḳh apnā kiyā shāh-e-umam ne
taḳhsīs nahīñ is meñ faqat apnoñ kī 'nāzāñ'
aa'dā ke liye bhī kī du'ā shāh-e-umam ne
jo manga 'ata mujh ko kiya shah-e-umam ne
dekha nahin qismat ka likha shah-e-umam ne
mahbub wo insan hua rabb-e-jahan ka
mahbub jise apna kaha shah-e-umam ne
gul apni 'aqidat ka mohabbat ka khila kar
rakkha hai mere dil ko hara shah-e-umam ne
tariki zamane se chhaTi raushni phaili
raushan yun kiya haq ka diya shah-e-umam ne
allah ne us samt ki surat hi badal di
jis samt bhi ruKH apna kiya shah-e-umam ne
taKHsis nahin is mein faqat apnon ki 'nazan'
aa'da ke liye bhi ki du'a shah-e-umam ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.