kare wo wird nam-e-mustafa ka
kare vo vird nām-e-mustafā kā
jise ho sāmnā mauj-e-balā kā
ġhulām-e-sāqī-e-kausar huuñ saaqī
mujhe khaTkā nahīñ roz-e-jazā kā
ham us rauze kā saaya chāhte haiñ
hameñ armāñ nahīñ zill-e-humā kā
mujhe rokeñge kyā darbān-e-jannat
sanā-ḳhvāñ huuñ janāb-e-mustafā kā
faqīrī meñ shahanshāhī sikhā.ī
baḌhāyā shaah se rutba gadā kā
mujhe kyā qaisar-o-kisrā kā ḳhatra
maiñ banda huuñ janāb-e-mustafā kā
salām us par darūd us par 'jamālī'
sabaq jis ne diyā sabr-o-razā kā
kare wo wird nam-e-mustafa ka
jise ho samna mauj-e-bala ka
ghulam-e-saqi-e-kausar hun saqi
mujhe khaTka nahin roz-e-jaza ka
hum us rauze ka saya chahte hain
hamein arman nahin zill-e-huma ka
mujhe rokenge kya darban-e-jannat
sana-KHwan hun janab-e-mustafa ka
faqiri mein shahanshahi sikhai
baDhaya shah se rutba gada ka
mujhe kya qaisar-o-kisra ka KHatra
main banda hun janab-e-mustafa ka
salam us par darud us par 'jamali'
sabaq jis ne diya sabr-o-raza ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.