lab pe aati hai sana ban ke aqidat meri
lab pe aatī hai sanā ban ke 'aqīdat merī
kaash maqbūl ho aaqā ko mohabbat merī
duur duniyā kā añdherā huā un ke dam se
aap kā sadqa-e-adnā hai basīrat merī
sāzgār un se huā gulshan-e-dīñ kā mausam
bū-e-īmāñ se mahak uTThī 'aqīdat merī
jo hai dīvāna-e-sarkār hai vo naġhma-sarā
suntī hai aap ke naġhmāt samā'at merī
paañv kā manzil-e-maqsūd maiñ un ke sadqe
rahbarī kartī hai har gaam sharī'at merī
mere allāh mirī itnī du'ā kar maqbūl
'ilm ke shahr se ho jaa.e mohabbat merī
arz-e-taiba ho ki 'abrār' zamīn-e-hindī
mere aaqā kī ġhulāmī hai virāsat merī
lab pe aati hai sana ban ke 'aqidat meri
kash maqbul ho aaqa ko mohabbat meri
dur duniya ka andhera hua un ke dam se
aap ka sadqa-e-adna hai basirat meri
sazgar un se hua gulshan-e-din ka mausam
bu-e-iman se mahak uTThi 'aqidat meri
jo hai diwana-e-sarkar hai wo naghma-sara
sunti hai aap ke naghmat sama'at meri
panw ka manzil-e-maqsud main un ke sadqe
rahbari karti hai har gam shari'at meri
mere allah meri itni du'a kar maqbul
'ilm ke shahr se ho jae mohabbat meri
arz-e-taiba ho ki 'abrar' zamin-e-hindi
mere aaqa ki ghulami hai wirasat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.