lillāh karam kījiye sarkār-e-madīna
mujh ko bhī dikhā dījiye darbār-e-madīna
darbāroñ meñ darbār hai darbār-e-madīna
sab se baḌī sarkār hai sarkār-e-madīna
har-jā pe nazar aatī haiñ anvār-e-madīna
allāh rī ai sham.a-e-ziyā-bār-e-madīna
kuchh apne ġhulāmoñ kī ḳhabar hai ki nahīñ hai
yā-muttalabī sayyad-e-abrār-e-madīna
'bahzād' mujhe ḳhauf nahīñ roz-e-jazā kā
aaqā haiñ mire ahmad-e-muḳhtār-e-madīna
lillah karam kijiye sarkar-e-madina
mujh ko bhi dikha dijiye darbar-e-madina
darbaron mein darbar hai darbar-e-madina
sab se baDi sarkar hai sarkar-e-madina
har-ja pe nazar aati hain anwar-e-madina
allah ri ai shama-e-ziya-bar-e-madina
kuchh apne ghulamon ki KHabar hai ki nahin hai
ya-muttalabi sayyad-e-abrar-e-madina
'bahzad' mujhe KHauf nahin roz-e-jaza ka
aaqa hain mere ahmad-e-muKHtar-e-madina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.