lutf aata nahin hai jine mein
lutf aatā nahīñ hai jiine meñ
le chalo ab mujhe madīne meñ
koī bhūkā nahīñ rahegā ab
itnī barkat hai is mahīne meñ
paḌh ke qur.ān ye milā mujh ko
dard hotā nahīñ hai siine meñ
aisī ḳhushbū nahīñ kisī gul meñ
mere aaqā ke hai pasīne meñ
saare ġham kā 'ilāj kar degā
āb-e-zamzam do sirf piine meñ
lutf aata nahin hai jine mein
le chalo ab mujhe madine mein
koi bhuka nahin rahega ab
itni barkat hai is mahine mein
paDh ke quran ye mila mujh ko
dard hota nahin hai sine mein
aisi KHushbu nahin kisi gul mein
mere aaqa ke hai pasine mein
sare gham ka 'ilaj kar dega
aab-e-zamzam do sirf pine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.