Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahshar mein mil sakega sahaara rasul ka

Shamsa Najm

mahshar mein mil sakega sahaara rasul ka

Shamsa Najm

MORE BYShamsa Najm

    mahshar meñ mil sakegā sahārā rasūl

    apnā liyā jo ham ne tarīqa rasūl

    ik mo'jiza thā zaat īmān pe dalīl

    sab DhūñDte rahe na thā saaya rasūl

    duniyā banī usī banī us āḳhirat

    apnā liyā hai jis ne tarīqa rasūl

    hai aarzū yahī ki madīne ko sakūñ

    aur dekhnā nasīb ho rauza rasūl

    gūñjī bilāl na madīne meñ jab azaañ

    ghaḌiyāñ thamīñ ki chup thā dulārā rasūl

    har chiiz meñ tavakkul-o-taqvā thī jhalak

    jaama rasūl ki bichhaunā rasūl

    baḳhshish hogī tabhī jo shafā'at mile mujhe

    vā'da ḳhudā par ho irāda rasūl

    puurī ye kā.enāt sitāroñ se hai bharī

    sab se buland-baḳht sitāra rasūl

    go hai gunāhgār hai baḳhshish aas par

    'shamsa' ko sirf ek sahārā rasūl

    mahshar mein mil sakega sahaara rasul ka

    apna liya jo hum ne tariqa rasul ka

    ek mo'jiza tha zat ka iman pe dalil

    sab DhunDte rahe na tha saya rasul ka

    duniya bani usi ki bani us ki aaKHirat

    apna liya hai jis ne tariqa rasul ka

    hai aarzu yahi ki madine ko ja sakun

    aur dekhna nasib ho rauza rasul ka

    gunji bilal ki na madine mein jab azan

    ghaDiyan thamin ki chup tha dulara rasul ka

    har chiz mein tawakkul-o-taqwa ki thi jhalak

    jama rasul ka ki bichhauna rasul ka

    baKHshish hogi tabhi jo shafa'at mile mujhe

    wa'da KHuda ka par ho irada rasul ka

    puri ye kaenat sitaron se hai bhari

    sab se buland-baKHt sitara rasul ka

    go hai gunahgar hai baKHshish ki aas par

    'shamsa' ko sirf ek sahaara rasul ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now