main hun sahib-e-saadat ki main nat likh raha hun
maiñ huuñ sāhib-e-sa'ādat ki maiñ naa't likh rahā huuñ
khulī aaj merī qismat ki maiñ naa't likh rahā huuñ
na hai kuchh kamāl mujh meñ na hai fan meñ kuchh mahārat
hai nabī se mujh ko nisbat ki maiñ naa't likh rahā huuñ
na qalam meñ istitā’at na zabāñ meñ aisī quvvat
mire rab kī hai mashiyyat ki maiñ naa't likh rahā huuñ
hai qalam bhī shaad merā hai varaq bhī ḳhud pe nāzāñ
hai suḳhanvarī kī nudrat ki maiñ naa't likh rahā huuñ
saf-e-avvalīñ meñ ‘hassāñ’ saf-e-āḳhirīñ meñ 'shādāb'
hai sahābiyoñ kī sunnat ki maiñ naa't likh rahā huuñ
main hun sahib-e-sa'adat ki main na't likh raha hun
khuli aaj meri qismat ki main na't likh raha hun
na hai kuchh kamal mujh mein na hai fan mein kuchh mahaarat
hai nabi se mujh ko nisbat ki main na't likh raha hun
na qalam mein istita’at na zaban mein aisi quwwat
mere rab ki hai mashiyyat ki main na't likh raha hun
hai qalam bhi shad mera hai waraq bhi KHud pe nazan
hai suKHanwari ki nudrat ki main na't likh raha hun
saf-e-awwalin mein ‘hassan’ saf-e-aKHirin mein 'shadab'
hai sahabiyon ki sunnat ki main na't likh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.