maine huzur se jo huzuri ki chah ki
maiñ ne huzūr se jo huzūrī kī chaah kī
chhiḌkī haiñ mujh pe raushniyāñ jalva-gāh kī
jab mere ghar ke sahn meñ dhūpoñ ne raah kī
oḌhī hai maiñ ne chhāñv rasūl-e-ilāh kī
ab hādsāt-e-arz-o-samā aa.eñ kyā majāl
ab maiñ panāh meñ huuñ do-'ālam-panāh kī
āñkhoñ ke pattharoñ se chhalakne lagā hai nuur
mujh kam-nigāh par jo nabī ne nigāh kī
jab se huuñ bārgāh-e-risālat meñ bāryāb
duniyā ko justujū hai mirī bārgāh kī
'arsh-e-barīñ se aa.e haiñ sall-e-'alā ke phuul
'azmat ye farsh par hai rasūloñ ke shaah kī
chāheñ to shab-zadoñ ko sahar se navāz deñ
mālik hai un kī zaat safed-o-siyāh kī
kaise karam ho un pe rasūl-e-karīm kā
jo bo rahe haiñ ruuh meñ beleñ gunāh kī
me'mār-e-dīñ ke sāmne kis kis kā naam luuñ
kis ne na qasr-e-dīñ kī 'imārat tabāh kī
aise meñ ḳhair kījiye ḳhair-ul-varā haiñ aap
yūrish dayār-e-haq pe hai bātil sipāh kī
dekhā hai aa.ina to ye hairat huī mujhe
maiñ aur bārgāh risālat-panāh kī
maiñ to siyāhkār huuñ vo nūr-e-kibriyā
maiñ aur bārgāh risālat-panāh kī
allāh kā payām na jibrīl kā salām
taḌpā rahī hai yaad habīb-e-ilāh kī
rakh dūñgā naa't dāvar-e-mahshar ke sāmne
'zauqī' jo pesh aa.ī zarūrat gavāh kī
main ne huzur se jo huzuri ki chah ki
chhiDki hain mujh pe raushniyan jalwa-gah ki
jab mere ghar ke sahn mein dhupon ne rah ki
oDhi hai main ne chhanw rasul-e-ilah ki
ab hadsat-e-arz-o-sama aaen kya majal
ab main panah mein hun do-'alam-panah ki
aankhon ke pattharon se chhalakne laga hai nur
mujh kam-nigah par jo nabi ne nigah ki
jab se hun bargah-e-risalat mein baryab
duniya ko justuju hai meri bargah ki
'arsh-e-barin se aae hain sall-e-'ala ke phul
'azmat ye farsh par hai rasulon ke shah ki
chahen to shab-zadon ko sahar se nawaz den
malik hai un ki zat safed-o-siyah ki
kaise karam ho un pe rasul-e-karim ka
jo bo rahe hain ruh mein belen gunah ki
me'mar-e-din ke samne kis kis ka nam lun
kis ne na qasr-e-din ki 'imarat tabah ki
aise mein KHair kijiye KHair-ul-wara hain aap
yurish dayar-e-haq pe hai baatil sipah ki
dekha hai aaina to ye hairat hui mujhe
main aur bargah risalat-panah ki
main to siyahkar hun wo nur-e-kibriya
main aur bargah risalat-panah ki
allah ka payam na jibril ka salam
taDpa rahi hai yaad habib-e-ilah ki
rakh dunga na't dawar-e-mahshar ke samne
'zauqi' jo pesh aai zarurat gawah ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.