milegi mere ghamon ki dawa madine mein
milegī mere ġhamoñ kī davā madīne meñ
uḌā ke le jā mujhe bhī havā madīne meñ
batā.eñ kaise tumheñ kyā milā madīne meñ
karam kā mujh ko pata mil gayā madīne meñ
agar salīqe se māñgo to merā dā'vā hai
koī bhī radd nahīñ hotī du'ā madīne meñ
hai ehtirām ke qābil vahāñ kā har zarra
havā bhī kartī nahīñ hai ḳhatā madīne meñ
madīna kyoñ na hameñ jān-o-dil se ho pyārā
haiñ ham ġharīboñ ke hājat-ravā madīne meñ
hai manziloñ kī tamanna to phir madīne chalo
hamāre aap ke haiñ rahnumā madīne meñ
'shu'aib' dil meñ madīne kī aarzū rakhnā
bulā hī leñge rasūl-e-ḳhudā madīne meñ
milegi mere ghamon ki dawa madine mein
uDa ke le ja mujhe bhi hawa madine mein
bataen kaise tumhein kya mila madine mein
karam ka mujh ko pata mil gaya madine mein
agar saliqe se mango to mera da'wa hai
koi bhi radd nahin hoti du'a madine mein
hai ehtiram ke qabil wahan ka har zarra
hawa bhi karti nahin hai KHata madine mein
madina kyon na hamein jaan-o-dil se ho pyara
hain hum gharibon ke hajat-rawa madine mein
hai manzilon ki tamanna to phir madine chalo
hamare aap ke hain rahnuma madine mein
'shu'aib' dil mein madine ki aarzu rakhna
bula hi lenge rasul-e-KHuda madine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.