mere rasul ki nisbat tujhe ujalon se
mire rasūl ki nisbat tujhe ujāloñ se
maiñ terā zikr karūñ sub.h ke havāloñ se
na merī naa't kī muhtāj zaat hai terī
na terī mad.h hai mumkin mire ḳhayāloñ se
tū raushnī kā payambar hai aur mirī tārīḳh
bharī paḌī hai shab-e-zulm kī misāloñ se
tirā payām-e-mohabbat thā aur mere yahāñ
dil-o-dimāġh haiñ pur nafratoñ ke jāloñ se
ye iftiḳhār hai terā ki mere ‘arsh-maqām
tū ham-kalām rahā hai zamīn vāloñ se
magar ye muftī-o-vā.iz ye mohtasib ye faqīh
jo mo'tabar haiñ faqat maslahat kī chāloñ se
ḳhudā ke naam ko becheñ magar ḳhudā na kare
asar-pazīr hoñ ḳhalq-e-ḳhudā ke nāloñ se
na merī aañkh meñ kājal na mushkbū hai libās
ki mere dil kā hai rishta ḳharāb-hāloñ se
hai tursh-rū mirī bātoñ se sāhib-e-mimbar
ḳhatīb-e-shahr hai barham mire savāloñ se
mire zamīr ne qābīl ko nahīñ baḳhshā
maiñ kaise sulh karūñ qatl karne vāloñ se
maiñ be-bisāt sā shā'ir huuñ par karam terā
ki bā-sharaf huuñ qabā-o-kulāh vāloñ se
mere rasul ki nisbat tujhe ujalon se
main tera zikr karun subh ke hawalon se
na meri na't ki muhtaj zat hai teri
na teri madh hai mumkin mere KHayalon se
tu raushni ka payambar hai aur meri tariKH
bhari paDi hai shab-e-zulm ki misalon se
tera payam-e-mohabbat tha aur mere yahan
dil-o-dimagh hain pur nafraton ke jalon se
ye iftiKHar hai tera ki mere ‘arsh-maqam
tu ham-kalam raha hai zamin walon se
magar ye mufti-o-waiz ye mohtasib ye faqih
jo mo'tabar hain faqat maslahat ki chaalon se
KHuda ke nam ko bechen magar KHuda na kare
asar-pazir hon KHalq-e-KHuda ke nalon se
na meri aankh mein kajal na mushkbu hai libas
ki mere dil ka hai rishta KHarab-haalon se
hai tursh-ru meri baaton se sahib-e-mimbar
KHatib-e-shahr hai barham mere sawalon se
mere zamir ne qabil ko nahin baKHsha
main kaise sulh karun qatl karne walon se
main be-bisat sa sha'ir hun par karam tera
ki ba-sharaf hun qaba-o-kulah walon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.