mohammad mustafa salle-ala kya nam pyara hai
mohammad mustafā salle-'alā kyā naam pyārā hai
vahī allāh kā mahbūb aur aaqā hamārā hai
vahī kī jis ne har ik 'ājiz-o-be-kas kī ġham-ḳhvārī
vahī jo be-navāoñ aur yatīmoñ kā sahārā hai
vahī ujḌī huī mahfil ko aa kar jis ne raunaq dī
vahī bigḌe hue aḳhlāq ko jis ne sudhārā hai
vahī jis kī jamāl-e-jāñ-fizā par naaz ḳhāliq ko
vahī jo qudsiyoñ kā aur farishtoñ kā dulārā hai
vahī jis ne miTāyā kufr-e-‘ālamgīr ko aa kar
vahī jis ne jahāñ ko nūr-e-īmāñ se sañvārā hai
vahī tārīkiyāñ kiiñ duur jis ne shirk-o-bid'at kī
vahī sūraj bhī jis ke aage ik maddham sitārā hai
nigāh-e-‘adl meñ jis kī gadā-o-shāh yaksāñ the
himāyat jis ne kī mazlūm kī zālim ko maarā hai
usī ke vāste barpā huī ye mahfil-e-hastī
vahī jis kā zamīñ se āsmānoñ tak ijārā hai
koī insān 'mahvī' ho shikār-e-zulm-o-bedardī
kahāñ us kī nigāh-e-rahm-o-shafqat ko gavārā hai
darūd-e-be-hisāb us par salām-e-be-shumār us par
mirī jān-e-‘azīz o kā.enāt-e-dil nisār us par
mohammad mustafa salle-'ala kya nam pyara hai
wahi allah ka mahbub aur aaqa hamara hai
wahi ki jis ne har ek 'ajiz-o-be-kas ki gham-KHwari
wahi jo be-nawaon aur yatimon ka sahaara hai
wahi ujDi hui mahfil ko aa kar jis ne raunaq di
wahi bigDe hue aKHlaq ko jis ne sudhaara hai
wahi jis ki jamal-e-jaan-fiza par naz KHaliq ko
wahi jo qudsiyon ka aur farishton ka dulara hai
wahi jis ne miTaya kufr-e-‘alamgir ko aa kar
wahi jis ne jahan ko nur-e-iman se sanwara hai
wahi tarikiyan kin dur jis ne shirk-o-bid'at ki
wahi suraj bhi jis ke aage ek maddham sitara hai
nigah-e-‘adl mein jis ki gada-o-shah yaksan the
himayat jis ne ki mazlum ki zalim ko mara hai
usi ke waste barpa hui ye mahfil-e-hasti
wahi jis ka zamin se aasmanon tak ijara hai
koi insan 'mahwi' ho shikar-e-zulm-o-bedardi
kahan us ki nigah-e-rahm-o-shafqat ko gawara hai
darud-e-be-hisab us par salam-e-be-shumar us par
meri jaan-e-‘aziz o kaenat-e-dil nisar us par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.