na gham se talluq na raghbat KHushi se
na ġham se ta'alluq na raġhbat ḳhushī se
nazar kheltī hai jamāl-e-nabī se
qadam ruk ga.e sabz gumbad ke dar par
milī mujh ko manzil rah-e-āgahī se
farozāñ huā jab charāġh-e-hidāyat
daraḳhshāñ dil-o-jāñ hue raushnī se
risālat kī tābāniyāñ allah allah
ujāle numāyāñ hue tīrgī se
nashāt-āfrīñ haiñ sujūd-e-tamanna
mirā dil hai zinda ġham-e-bandagī se
salīqa inheñ rabt-e-bāham kā de do
gurezāñ haiñ ab ummatī ummatī se
karam hai rasūl-e-mukarram kā 'zauqī'
ḳhushī chhan rahī hai ġham-e-zindagī se
na gham se ta'alluq na raghbat KHushi se
nazar khelti hai jamal-e-nabi se
qadam ruk gae sabz gumbad ke dar par
mili mujh ko manzil rah-e-agahi se
farozan hua jab charagh-e-hidayat
daraKHshan dil-o-jaan hue raushni se
risalat ki tabaniyan allah allah
ujale numayan hue tirgi se
nashat-afrin hain sujud-e-tamanna
mera dil hai zinda gham-e-bandagi se
saliqa inhen rabt-e-baham ka de do
gurezan hain ab ummati ummati se
karam hai rasul-e-mukarram ka 'zauqi'
KHushi chhan rahi hai gham-e-zindagi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.