na KHauf khaenge hargiz kasi bala se hum
na ḳhauf khā.eñge hargiz kisī balā se ham
sukūn pā.eñge ab zikr-e-mustafā se ham
dar-e-habīb pe le jā ke ham ko dafn karo
milan kī aas meñ kahte rahe ḳhudā se ham
hameñ bhī ḳhvāb meñ aaqā ziyārateñ baḳhsheñ
ki faiz paane lageñge usī 'atā se ham
buland donoñ jahānoñ meñ ham raheñ aaqā
ye chāhte haiñ faqat aap kī 'atā se ham
bhulā ke aap ko duniyā talāsh karte rahe
hue haiñ past bahut apnī is ḳhatā se ham
mareñge aap ke qadmoñ meñ zikr karte hue
mileñge jā ke kisī roz phir baqā se ham
nazar milā.eñge ham se vo ek din 'ātif'
yuuñ mil hī jā.eñge ik roz rahnumā se ham
na KHauf khaenge hargiz kisi bala se hum
sukun paenge ab zikr-e-mustafa se hum
dar-e-habib pe le ja ke hum ko dafn karo
milan ki aas mein kahte rahe KHuda se hum
hamein bhi KHwab mein aaqa ziyaraten baKHshen
ki faiz pane lagenge usi 'ata se hum
buland donon jahanon mein hum rahen aaqa
ye chahte hain faqat aap ki 'ata se hum
bhula ke aap ko duniya talash karte rahe
hue hain past bahut apni is KHata se hum
marenge aap ke qadmon mein zikr karte hue
milenge ja ke kisi roz phir baqa se hum
nazar milaenge hum se wo ek din 'atif'
yun mil hi jaenge ek roz rahnuma se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.