nabi ki bazm mein be-jaane pahchane nahin hote
nabī kī bazm meñ be-jāne pahchāne nahīñ hote
haqīqat jis jagah hotī hai afsāne nahīñ hote
nazar ādāb-e-mahfil par ye mai-ḳhāna hai yasrib kā
yahāñ āñkhoñ se pī jaatī hai paimāne nahīñ hote
mai-e-hubb-e-nabī kaise pilā lā.ūñ tujhe vā'iz
jahāñ jaatā huuñ maiñ vo 'aam mai-ḳhāne nahīñ hote
batāo ab tumhī aaqā inheñ jannat bhī samjhā dī
madīne ke sivā raazī ye dīvāne nahīñ hote
'qamar' har husn se ik 'ishq ko nisbat nahīñ hotī
munavvar kis qadar hai chāñd parvāne nahīñ hote
nabi ki bazm mein be-jaane pahchane nahin hote
haqiqat jis jagah hoti hai afsane nahin hote
nazar aadab-e-mahfil par ye mai-KHana hai yasrib ka
yahan aankhon se pi jati hai paimane nahin hote
mai-e-hubb-e-nabi kaise pila laun tujhe wa'iz
jahan jata hun main wo 'am mai-KHane nahin hote
batao ab tumhi aaqa inhen jannat bhi samjha di
madine ke siwa raazi ye diwane nahin hote
'qamar' har husn se ek 'ishq ko nisbat nahin hoti
munawwar kis qadar hai chand parwane nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.