pahuncha to raha hun dar-e-wala pe dua ko
pahuñchā to rahā huuñ dar-e-vālā pe du'ā ko
ab dekhiye manzūr hai kyā mere ḳhudā ko
insān-o-farishta dar-e-hazrat pe haiñ sar-ḳham
kis muñh se koī laa.e yahāñ apnī anā ko
allāh mujhe mad.h ke alfāz 'atā kar
maiñ pesh karūñ naa't shah-e-arz-o-samā ko
kab auj pe aa.egā mirā josh-e-mohabbat
kab hogī ḳhabar gulshan-e-taiba kī havā ko
ḳhāliq kī sanā ko to banāyā rah-e-manzil
aur mash'al-e-rah maiñ ne mohammad kī sanā ko
har ahl-e-nazar ne use sultān kahā hai
rutba ye milā hai tire kūche ke gadā ko
farmā.eñge sarkār-e-do-'ālam kabhī 'aḳhtar'
laao mire darbār meñ us mad.h-sarā ko
pahuncha to raha hun dar-e-wala pe du'a ko
ab dekhiye manzur hai kya mere KHuda ko
insan-o-farishta dar-e-hazrat pe hain sar-KHam
kis munh se koi lae yahan apni ana ko
allah mujhe madh ke alfaz 'ata kar
main pesh karun na't shah-e-arz-o-sama ko
kab auj pe aaega mera josh-e-mohabbat
kab hogi KHabar gulshan-e-taiba ki hawa ko
KHaliq ki sana ko to banaya rah-e-manzil
aur mash'al-e-rah main ne mohammad ki sana ko
har ahl-e-nazar ne use sultan kaha hai
rutba ye mila hai tere kuche ke gada ko
farmaenge sarkar-e-do-'alam kabhi 'aKHtar'
lao mere darbar mein us madh-sara ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.