Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-e-maidan-e-mahshar jab meri fard-e-amal nikli

Munawwr Badayuni

sar-e-maidan-e-mahshar jab meri fard-e-amal nikli

Munawwr Badayuni

MORE BYMunawwr Badayuni

    sar-e-maidān-e-mahshar jab mirī fard-e-amal niklī

    to sab se pahle is meñ na.at-e-hazrat ġhazal niklī

    tabī.at un ke dīvānoñ ab kuchh kuchh sañbhal niklī

    havā-e-dasht-e-taiba gulshan-e-jannat meñ chal niklī

    baḌā da.avā thā ḳhurshīd-e-qayāmat ko harārat

    tire abr-e-karam ko dekh kar rangat badal niklī

    lipaT kar rah ga.e mujrim tire dāmān-e-rahmat meñ

    qayāmat meñ qayāmat havā jab tez chal niklī

    munavvar kar diyā dāġh-e-jigar ne zarre zarre ko

    mire jaate merī qabr meñ ik sham.a jal niklī

    'munavvar' kaam aa.ī hashr meñ na.at-e-shah-e-vālā

    bahut dilkash bahut raushan mirī fard-e-amal niklī

    sar-e-maidan-e-mahshar jab meri fard-e-amal nikli

    to sab se pahle is mein nat-e-hazrat ki ghazal nikli

    tabiat un ke diwanon ki ab kuchh kuchh sanbhal nikli

    hawa-e-dasht-e-taiba gulshan-e-jannat mein chal nikli

    baDa dawa tha KHurshid-e-qayamat ko hararat ka

    tere abr-e-karam ko dekh kar rangat badal nikli

    lipaT kar rah gae mujrim tere daman-e-rahmat mein

    qayamat mein qayamat ki hawa jab tez chal nikli

    munawwar kar diya dagh-e-jigar ne zarre zarre ko

    mere jate hi meri qabr mein ek shama jal nikli

    'munawwar' kaam aai hashr mein nat-e-shah-e-wala

    bahut dilkash bahut raushan meri fard-e-amal nikli

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now