Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujh bin taDap rahe hain donon jahan wale

Behzad Lakhnavi

tujh bin taDap rahe hain donon jahan wale

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    tujh bin taḌap rahe haiñ donoñ jahān vaale

    ai zīnat-e-madīna ai ān-bān vaale

    terī navāzishoñ se pur-nūr ho rahe haiñ

    ye māh-o-mahr-o-anjum ye āsmān vaale

    tere baġhair kuchh bhī un nahīñ haqīqat

    tere nishāñ ke sadqe meñ haiñ nishān vaale

    sāhib-e-haqīqat markaz-e-aqīdat

    paḌhte haiñ terā kalma donoñ jahān vaale

    tere āstāñ par sar ko jhukā rahe haiñ

    dil vaale aañkh vaale sar vaale jaan vaale

    zāhir kiyā tujhī ne ka.aba azmatoñ ko

    ka.aba hai tere dam se ka.aba shaan vaale

    'bahzād' merī āñkheñ rotī haiñ ashk-e-hasrat

    jaate haiñ jab madīne hindostān vaale

    tujh bin taDap rahe hain donon jahan wale

    ai zinat-e-madina ai aan-ban wale

    teri nawazishon se pur-nur ho rahe hain

    ye mah-o-mahr-o-anjum ye aasman wale

    tere baghair kuchh bhi un ki nahin haqiqat

    tere nishan ke sadqe mein hain nishan wale

    tu sahib-e-haqiqat tu markaz-e-aqidat

    paDhte hain tera kalma donon jahan wale

    tere hi aastan par sar ko jhuka rahe hain

    dil wale aankh wale sar wale jaan wale

    zahir kiya tujhi ne kaba ki azmaton ko

    kaba hai tere dam se kaba ki shan wale

    'bahzad' meri aankhen roti hain ashk-e-hasrat

    jate hain jab madine hindostan wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now