tu jo ai mah-e-arab aalam ki zinat ho gaya

tu jo ai mah-e-arab aalam ki zinat ho gaya
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi
tū jo ai māh-e-'arab 'ālam kī zīnat ho gayā
nuur terā kis ke jalve kī bashārat ho gayā
nuur terā dāfe'-e-āsār-e-zulmat ho gayā
ek 'ālam ke liye sham'-e-hidāyat ho gayā
ġham tirā aayā hai dil meñ 'aish kā sāmāñ liye
duur kulfat ho ga.ī andoh ruḳhsat ho gayā
bichh ga.ī hai chādar-e-ḳhār-e-muġhīlāñ dasht meñ
tere vahshī ke liye sāmān-e-rahmat ho gayā
sāda-dil 'āshiq ki thā mushtāq terī diid kā
dekh kar ā.īna-e-dil mahv-e-hairat ho gayā
kyoñ na manzūr-e-nazar ho tere kūche kā ġhubār
'ain ye to surma-e-chashm-e-basīrat ho gayā
rū-e-anvar kā tasavvur vaj.h-e-ḳhāmoshī huā
ik parī kā jalva thā dīvāna 'vahshat' ho gayā
tu jo ai mah-e-'arab 'alam ki zinat ho gaya
nur tera kis ke jalwe ki bashaarat ho gaya
nur tera dafe'-e-asar-e-zulmat ho gaya
ek 'alam ke liye sham'-e-hidayat ho gaya
gham tera aaya hai dil mein 'aish ka saman liye
dur kulfat ho gai andoh ruKHsat ho gaya
bichh gai hai chadar-e-KHar-e-mughilan dasht mein
tere wahshi ke liye saman-e-rahmat ho gaya
sada-dil 'ashiq ki tha mushtaq teri did ka
dekh kar aaina-e-dil mahw-e-hairat ho gaya
kyon na manzur-e-nazar ho tere kuche ka ghubar
'ain ye to surma-e-chashm-e-basirat ho gaya
ru-e-anwar ka tasawwur wajh-e-KHamoshi hua
ek pari ka jalwa tha diwana 'wahshat' ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.