zindagi mujh par to main bhi zist par nazan hua
zindagī mujh par to maiñ bhī ziist par nāzāñ huā
mashġhala jab se mirā mad.h-e-shah-e-zīshāñ huā
'aks-e-husn-e-zāt se ye sab sar-o-sāmāñ huā
jalva-zār-e-zindagī ā.īna-e-hairāñ huā
'ishq-e-ahmad dāstān-e-zīst kā 'unvāñ huā
kis qadar achchhā ‘ilāj-e-gardish-e-daurāñ huā
kū-e-ahmad kā tasavvur le ke maiñ jab chal paḌā
rāste kā gosha gosha ā.ina-sāmāñ huā
mohsin-e-insāniyat ai hādī-e-nau'-e-bashar
tere faizān-e-nazar se aadmī insāñ huā
zikr-e-ahmad se mujhe har ranj meñ rāhat milī
ism-e-ahmad se mire har dard kā darmāñ huā
aap kā daur-e-sa'ādat kyā mubārak daur thā
qadr-dāñ us daur meñ insān kā insāñ huā
ye zamīñ ye āsmāñ tasnīm-o-kausar salsabīl
sab kuchh us kā hai jo terā tābe’-e-farmāñ huā
ai ta'ālallah tirī tā'līm insāñ-dostī
faiz se tere gadā bhī ham-sar-e-sultāñ huā
hai musalsal nā’t-goī kā 'jamālī' ye sila
naam terā bhī sanā-ḳhvān-e-shah-e-zīshāñ huā
zindagi mujh par to main bhi zist par nazan hua
mashghala jab se mera madh-e-shah-e-zishan hua
'aks-e-husn-e-zat se ye sab sar-o-saman hua
jalwa-zar-e-zindagi aaina-e-hairan hua
'ishq-e-ahmad dastan-e-zist ka 'unwan hua
kis qadar achchha ‘ilaj-e-gardish-e-dauran hua
ku-e-ahmad ka tasawwur le ke main jab chal paDa
raste ka gosha gosha aaina-saman hua
mohsin-e-insaniyat ai hadi-e-nau'-e-bashar
tere faizan-e-nazar se aadmi insan hua
zikr-e-ahmad se mujhe har ranj mein rahat mili
ism-e-ahmad se mere har dard ka darman hua
aap ka daur-e-sa'adat kya mubarak daur tha
qadr-dan us daur mein insan ka insan hua
ye zamin ye aasman tasnim-o-kausar salsabil
sab kuchh us ka hai jo tera tabe’-e-farman hua
ai ta'alallah teri ta'lim insan-dosti
faiz se tere gada bhi ham-sar-e-sultan hua
hai musalsal na’t-goi ka 'jamali' ye sila
nam tera bhi sana-KHwan-e-shah-e-zishan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.