Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadhii nazm

Hamza-ze

aadhii nazm

Hamza-ze

MORE BYHamza-ze

    aadhii raat mai.n ne jaag jaag kar guzaarii

    aadhe KHvaab se mai.n ne KHud ko khii.nch kar judaa kiyaa

    aadhii nii.nd adhuurii hai

    aadhii KHushii merii jeb me.n se gir ga.ii

    aadhe dukh mai.n kisii ko de nahii.n saktaa

    aadhaa chehra jazbaat chhupaa letaa hai

    aadhaa suuraj december kii dhu.ndlaahaT kaa shikaar hai

    aadhii zamiin par log qaabiz hai.n

    aadhii nazm mai.n ne likh kar chho.D dii

    aadhe insaan mar chuke hai.n

    aadhii hasrate.n dafn kar dii ga.ii hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now