abbuu ke naam
mere tanhaa KHudaa
mai.n ne pachchiis baras us ke saa.e ke bin
us ke bin
aise tanhaa guzaare ki jaise kisii dasht me.n
miil-haa-miil tak
ko.ii paanii na ho aur musaafir bhii vaaqif ho is se
magar us ko ye bhii pataa ho
ki tanhaa sahii
aur pyaasaa sahii
mai.n jiinaa to hai
mere sachche o tanhaa KHudaa
mere dushman kaa vaalid salaamat rahe
mere tanhaa KHudaa
mai.n ne pachchiis baras us ke saa.e ke bin
us ke bin
aise tanhaa guzaare ki jaise kisii dasht me.n
miil-haa-miil tak
ko.ii paanii na ho aur musaafir bhii vaaqif ho is se
magar us ko ye bhii pataa ho
ki tanhaa sahii
aur pyaasaa sahii
mai.n jiinaa to hai
mere sachche o tanhaa KHudaa
mere dushman kaa vaalid salaamat rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.