barahna-paa.ii kii nazm
ab kii baar
jaa.De kaa mausam aate hii
mere hands-free Tuut ga.e
meraa chashma siyaah samundar kii lahro.n me.n kahii.n kho gayaa
aur mere juute phaT ga.e
hands-free ko mai.n ne solution-tape se jo.D liyaa
aur duusrii jaanib se aavaaz na aane ke KHatre ko
aa.inda ke liye mol liyaa
chashma to KHair kisii anjaan saahil par siipiyo.n ke maa'suum dilo.n me.n
hijr kaa KHauf-e-siyaah jagaataa hogaa
siyaah rang us pe kitnaa jachtaa thaa ye baat ab vo kis ko bataataa hogaa
magar juute
juute jaanaa.n judaa.ii ke jaavedaa.n jangal kii ja.D me.n jaka.D ga.e hai.n
aur sardii se mere pair kohre kii maanind aka.D ga.e hai.n
juute KHariidnaa tab jeb par do gunaa bhaarii ho jaataa hai
aadmii jab kisii apne ke saath se bhii 'aarii ho jaataa
merii sahelii ye sun kar aape se baahar ho ga.ii
mujhe juutaa dilvaane ko baazaaro.n me.n KHvaar ho ga.ii
vo baadalo.n kii sair ke dauraan mujh se kahii.n kho gayaa hai
jis ko ye bataanaa hai ki juutaa KHariidnaa mere liye mo'amma ho gayaa hai
sahelii ko KHvaarii se baaz rakh kar mulaaqaat kii mai.n ne 'arz Daalii hai
ki barf girne se pahle talak juutaa na luu.ngii ye to ab qasam khaa lii hai
us ne ye kah kar call kaaT dii fauran
dekho phir pahle mai.n aa.uu.n yaa barf

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.