be-aavaaz guftuguu se uchkii hu.ii nazm
vo talaash me.n hai.n
aur jaan.naa chaahte hai.n
ki ye nazme.n kahaa.n se aatii hai.n
vo chaahato.n bhare harbe
raTii hu.ii zehaanat aur
musta'aar tajrabe se bane jaal kii
mahaarat mujh par aazmaate hu.e
tum tak pahu.nchnaa chaahte hai.n
vo kaamyaab suraaG-rasaa.n hai.n
magar ye nahii.n jaante ki
devtaa dilo.n me.n rahte hai.n
aur be-aavaaz baate.n karte hai.n
mai.n ne unhe.n bataayaa ki
tumhaarii baato.n se ab tak
mai.n kitnii nazme.n uchak chukii huu.n
aur unho.n ne
sivaa.e mere dil ke
jo tumhaaraa asl Thikaana hai
tumhe.n har jagah Dhuu.nDaa
magar tum tak nahii.n pahu.nch sake
vo talaash me.n hai.n
aur jaan.naa chaahte hai.n
ki ye nazme.n kahaa.n se aatii hai.n
vo chaahato.n bhare harbe
raTii hu.ii zehaanat aur
musta'aar tajrabe se bane jaal kii
mahaarat mujh par aazmaate hu.e
tum tak pahu.nchnaa chaahte hai.n
vo kaamyaab suraaG-rasaa.n hai.n
magar ye nahii.n jaante ki
devtaa dilo.n me.n rahte hai.n
aur be-aavaaz baate.n karte hai.n
mai.n ne unhe.n bataayaa ki
tumhaarii baato.n se ab tak
mai.n kitnii nazme.n uchak chukii huu.n
aur unho.n ne
sivaa.e mere dil ke
jo tumhaaraa asl Thikaana hai
tumhe.n har jagah Dhuu.nDaa
magar tum tak nahii.n pahu.nch sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.