ek nazm
ek KHuub-suurat 'aurat pe likhii nazm kabhii zaa.e' nahii.n jaatii
vo na kabhii buu.Dhii hotii hai
har naujavaan la.Dke me.n vo apnaa ham-'umr talaash kar letii hai
ek ujlii sub.h pe likhii nazm har suuraj ke saath tuluu' hotii hai
vo kabhii puraanii nahii.n hotii
log mashriq kii taraf use Dhuu.nDte rahte hai.n
ek giit sunte hu.e likhii nazm ho.nTo.n pe hamesha rahtii hai aur naujavaan 'aashiq use zer-e-lab gungunaate rahte hai.n
ek raat pe likhii nazm hamesha jaagtii hai
vo duur taariikii me.n bhii dekh saktii hai
raushnii pe likhii nazm hame.n nazar nahii.n aatii
taa-der ki vo pairo.n me.n pa.Dii raat se Takraa na jaa.e
aur KHvaabo.n pe likhii nazm kabhii maayuus nahii.n kartii
vo ummiid ko zinda rakhtii hai
mai.n shaa'ir huu.n
mai.n udaasii se nazm nikaal laataa huu.n
aur KHushii pe likhii nazm
hame.n hamesha ha.nsaatii hai jab ham bachcho.n kii aa.nkho.n me.n dekhte hai.n yaa maa.n se du'aa.e.n lete hai.n
ek aasmaan pe likhii nazm
hame.n kaa.enaat se jo.Dtii hai aur sitaaro.n pe likhii nazm kahkashaa.o.n me.n gaa.ii jaatii hai
ek phuul pe likhii nazm kabhii murjhaatii nahii.n
aur KHushbuu pe likhii nazm
la.Dkiyaa.n jo.De me.n gulaab kii tarah guu.ndhe phirtii hai.n
aur zindagii pe likhii nazm kabhii martii nahii.n
aur maut pe likhii nazm fanaa-o-laa-fanaa se maavaraa ho jaatii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.