fake baukhalaahaT
saaf shaffaaf din ke dastarKHvaan par
jab shaam
zindagii kaa talaaq-naama pesh kartii hai to aadmii
jhu.njhlaa kar
apnaa nivaala-e-tar khaane kii mez par giraa detaa hai
ham-nivaala sabhii
apne daahine haath naukraaniyo.n kii qamiiz se fauran nikaal lete hai.n
mankuuha 'aurato.n ke peT par a.ngvaar kaaTte safed loma.D
apne rafiiq kii naagahaa.n maut kii KHabar sunte hii
do din aur ek raat ke liye
havas kii goliyaa.n nahii.n khaate
aglii raat aur phir vahii baat
bhaa.ii saahab
ye saarii fake baukhalaahaT hai
ye jaahil samaaj hai
yahaa.n mu.nh kaa zaa.iqa tamaa.ncho.n kaa muhtaaj hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.