ham kisii shaam ko mile.nge
ham kisii shaam ko mile.nge
jhiil kinaare bal khaatii pagDanDii par jise phuulo.n ne Dhak diyaa ho
yaa ghane pe.D ke saa.e me.n jise parindo.n ne apnaa ghar maan liyaa ho
sach puuchhe.n to
shaame.n sirf dehaat me.n hotii hai.n
shahro.n me.n to din ke baa'd siidhii raat utartii hai
gesuu.o.n me.n chaa.ndii bhare puKHta 'umr bhikaaran
raat kaam aur kaam ke darmiyaan maa'muulii vaqfa hai
yaa thake haare badan ke liye social reproduction
shahro.n ke baasii KHvaab afford nahii.n kar sakte
nii.nd vahii hai jo music sunte aa jaa.e kitaab pa.Dhte yaa jab ko.ii baalo.n me.n u.ngliyaa.n pher rahaa ho
baaqii to pa.D rahnaa hai
footpath par mazduuro.n yaa din cha.Dhe kutto.n kii tarah
hamaarii nasl ne KHvaab bech kar raushnii KHariidii
aur be-KHvaabii me.n mubtalaa ho kar nisyaan aur bisyaar-KHorii kaa shikaar ho ga.e
hamaarii mez par kitaabe.n nahii.n snacks milte hai.n
hamaare zehno.n me.n ideas nahii.n mahruumiyaa.n hai.n
magar chho.De.n
ham is shahr se baahar mile.nge
kisii shaam ko

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.