khaare raste
man u.Dtii titlii hai kisii naadaan kii qamiis kaa jaal use qaid kar saktaa hai
palluu me.n jis kaa bachpan lipTaa ho chunarii ke daam me.n aa saktaa hai
ai pahluu-nashii.n ajrak kaa hayuulaa nazm piro saktaa hai
ye KHaraaba saaraa kachchii nii.nd saa jald-baaz hai
tum ne dekhii ho phirtii hu.ii Dor
Dor khone vaale kuchh chehre
aasmaan kii bulandiyo.n ko na chhuune vaale vo aa.nsuu jo kaTii patang ke saath qadam nahii.n milaa sakte
KHaalii jeb sapaaT chehre KHatm hu.ii qalam khurdure haath
majbuurii kaa terahvaa.n mahiina
hamaare faaqo.n kii iijaad hai.n aise ka.ii din
sabhii gahre muKHtasar barso.n me.n yahii but banaa.e ga.e
dost dukh ye nahii.n ki chup kii jha.Dii lagii
dukh ye hai ham mohabbat ke faaqo.n ke but nahii.n Dhaa sake
hamaare kaa.ndho.n pe ko.ii ilhaamii maslahat ko.ii tasallii nahii.n rahii
zamii.n-zaad KHaak the raakh hu.e
diivaaro.n se zindagii kii buu kahii.n se bhii nahii.n aatii
tark-e-mohabbat kaa siilan sab khaa gayaa hai
aa.nsu.o.n ko aisii diimak lagii hai jaise biinaa ek manzar se biinaa.ii de baiThe
apne hisse kaa varaq dukho.n se micro kar ke chhaapa gayaa hai
purse kaa chashma ye mail kaaT saktaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.