mahruumii
mai.n maa.n baap ke hote hu.e
yatiimo.n kii tarah
zindagii guzaar rahaa huu.n
tanhaa kha.Daa
us kutiyaa ko dekh rahaa huu.n
jo apne bachcho.n ke saath khel rahii hai
pyaar se un ko chaaT rahii hai
aur
mai.n baiThaa soch rahaa huu.n
kaash mai.n pillaa hii hotaa
mai.n maa.n baap ke hote hu.e
yatiimo.n kii tarah
zindagii guzaar rahaa huu.n
tanhaa kha.Daa
us kutiyaa ko dekh rahaa huu.n
jo apne bachcho.n ke saath khel rahii hai
pyaar se un ko chaaT rahii hai
aur
mai.n baiThaa soch rahaa huu.n
kaash mai.n pillaa hii hotaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.